Search This Blog

Sunday, 15 July 2018

Agar in dono (aasman aur zameen) mein Allah ke siwa aur maabud hote to zameen aur aasman darham barham (kharab) ho jate

Bismillahhirrahmanirrahim
Agar in dono (aasman aur zameen) mein Allah ke siwa aur maabud hote to zameen aur aasman darham barham (kharab) ho jate
-----------------------
★Agar in dono (aasman aur zameen) mein Allah ke siwa aur maabud hote to zameen aur aasman darham barham (kharab) ho jate , jo baate ye log bayan karte hain Allah Arsh ka malik un baato se paak hai, wo jo kaam karta hai us ke baare mein koi puch nahi sakta , aur (jo kaam ye log karte hain) un se pucha jayega kya logon ne Allah ke siwa aur bhi mabud bana rakhe hain,kah do ki (is baat par) apni dalil pesh karo, ye mere saath walon ki kitab aur mujhse pahle ke logon ki kitabein mojud hain bulki aksar unmein se haq jante hi nahi isliye munh phere huye hain.
Al~Quran,Surah Al-Anbiya(21),Aayat-22-24
-----------------------
★अगर इन दोनों (आसमान और ज़मीन) में अल्लाह के सिवा और माबूद होते तो ज़मीन और आसमान दरहम बरहम (खराब) हो जाते , जो बातें ये लोग बयान करते हैं अल्लाह अर्श का मालिक उन बातों से पाक है, वो जो काम करता है उस के बारे में कोई पूछ नही सकता ,और (जो काम ये लोग करते हैं) उन से पूछा जाएगा, क्या लोगों ने अल्लाह के सिवा और भी माबूद बना रखे हैं,कह दो की (इस बात पर) अपनी दलील पेश करो, ये मेरे साथ वालों की किताब और मुझसे पहले के लोगों की किताबें मोजूद हैं बल्कि अक्सर उनमें से हक़ जानते ही नही इसलिए मुँह फेरे हुए हैं
अल~क़ुरान,सुरह अल-अन्बिया(21),आयत-22-24
-----------------------
اگر آسمان اور زمین میں الله کے سوا اور معبود ہوتے تو زمین وآسمان درہم برہم ہوجاتے۔ جو باتیں یہ لوگ بتاتے ہیں الله عرش کا مالک ان سے پاک ہے وہ جو کام کرتا ہے اس کے بارے میں کوئی نہیں پوچھے گا اور (جو کام یہ لوگ کرتے ہیں اس کی) ان سے پوچھا جائے گاکیا لوگوں نے الله کے سوا اور بھی معبود بنا رکھے ہیں ۔ کہہ دو کہ (اس بات پر) اپنی دلیل پیش کرو۔ یہ میرے ساتھ والو ں کی کتاب اور مجھ سے پہلے لوگوں کی کتابیں موجود ہیں بلکہ اکثر ان میں سے حق جانتے ہی نہیں اس لیے منہ پھیرے ہوئے ہیں-
القرآن،سورة الأنبياء(٢١)،آیت-٢٢-٢
-----------------------
★Had there been therein (in the heavens and the earth) Gods besides Allah, then verily both would have been ruined. Glorified be Allah, the Lord of the Throne, (High is He) above all that (evil) they associate with Him!He cannot be questioned as to what He does, while they will be questioned.Or have they taken for worship (other) alihah (gods) besides Him? Say: "Bring your proof." This (the Qur'an) is the Reminder for those with me and the Reminder for those before me. But most of them know not the Truth, so they are averse.
Surah Al-Anbiya(21),Verse-22-24
-----------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment