Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 55 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦ Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Jahaan tak Majoosi Mazhab ka ta'lluq hai to use ziyaadah tar Ahl-e-Faaris ke hamsaaya Arabon mein farogh haasil hua tha. Masalan Iraq, Arab, Bahrain, ( Al-Ahsa) Hijr aur Khalij-e-Arabi ke saahili elaaqe. In ke elaavah Yemen par Faarsi qabze ke dauraan wahaan bhi ikka-dukka afraad ne majoosiyyat qabool ki. Baaqi rahaa Saabi mazhab to Iraq waghairah ke Aasaar-e-Qadeema ki khudaai ke dauraan jo Katbaat baraamad hue hain un se pataa chaltaa hei ke yeh Hazrat Ibrahim (a.s.) ki Kaldani Qaum ka mazhab tha. Daur-e-Qadeem mein Shaam wa Yemen ke bahut se baashinde bhi isi mazhab ke pairao the, lekin jab Yahoodiyat aur phir Eisaaiyat ka Daur Daurah hua to is mazhab ki buniyadein hil gain aur us ki sham-e-farozan gul ho kar rah gai. Taaham Majoos ke saath khalat-malat ho kar ya un ke paros mein Iraq, Arab aur Khaleej-e-Arabi ke saahil par is mazhab ke kuchh na kuchh pairaokaar baaqi rahe. • (20)
-----------------------
-----------------------
★जहाँ तक मजूसी धर्म का ताल्लुक है , तो अधिकतर फारस वालो के पड़ोसी अरबो में इसका विकास हुआ था , जैसे इराक़ , अरब बहरैन (अल-अहसा) हिज्र और अरब खाड़ी के तटीय छेत्र . इनके अलावा यमन पर फ़ारसी क़ब्ज़े के दौरान वहाँ भी एक दो व्यक्तियों ने मजूसी धर्म अपना लिया . बाकी रहा साबी धर्म , जिसकी विशेषता सितारापरस्ती , नक्षत्रो में श्रद्धा , तारो का प्रभाव और उन्हें सृष्टि का संयोजक मानना थी , तो इराक़ आदि के अवशेषों की खुदाई के दौरान जो शिला-लेख मिले हैं , उनसे पता चलता है कि ये हजरत इब्राहीम अलैहिस्सलाम की कलदानी क़ौम का धर्म था . पुराने जमाने में शाम व यमन के बहुत से निवासी भी इसी धर्म के मानने वाले थे, लेकिन जब यहूदी मत और फिर ईसाई धर्म का जोर बढ़ा तो इस धर्म की बुनियादें हिल गयी और उसका जलता चिराग बुझ के रह गया , फिर मजूस के साथ मिल मिलाकर या उनके पड़ोस में इराक़ अरब और अरब खाड़ी के तट पर इस धर्म के कुछ न कुछ मानने वाले बाकी रहे
-----------------------
-----------------------
★The principal tribes that embraced Christianity were Ghassan, Taghlib, Tai’ and some Himyarite kings as well as other tribes living on the borders of the Roman Empire. Magianism was also popular among the Arabs living in the neighbourhood of Persia, Iraq, Bahrain, Al-Ahsâ’ and some areas on the Arabian Gulf coast. Some Yemenis are also reported to have professed Magianism during the Persian occupation. As for Sabianism, excavations in Iraq revealed that it had been popular amongst Kaldanian folks, the Syrians and Yemenis. With the advent of Judaism and Christianity, however, Sabianism began to give way to the new religions, although it retained some followers mixed or adjacent to the Magians in Iraq and the Arabian Gulf.
-----------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------
• (20) Tareekh-e-Arzul-Qur'aan 2/193 208
■ To be Continued....... In shaa Allah
No comments:
Post a Comment