Search This Blog

Monday 30 July 2018

Part 59 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 59 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
Jaahili Mu'aashare ki Chand Jhalkiyaan Jazeeratul-Arab ke siyaasi aur mazhabi haalaat bayaan kar lene ke ba'd ab wahaan ke ijtimaai', iqtisaadi aur akhlaaqi haalaat ka khaakaa mukhtasaran pesh kiyaa jaa rahaa hei.
Ijtimaai' Haalaat: Arab aabaadi mukhtalif tabqaat par mushtamil thi aur har tabqe ke haalaat eik-doosre se bahut ziyaadah mukhtalif the. Chunaanche Tabqa-e-Ashraaf mein mard-aurat ka ta'lluq khaassaa taraqqi yaaftaa tha. Aurat ko bahut kuchh khud mukhtaari haasil thi. Uski baat maani jaati thi. Aur us ka itnaa ehtiraam aur tahaffuz kiya jaataa tha ke is raah mein talvaarein nikal padti thin aur khoonreziyan ho jaati thin. Aadmi jab apne karam-wa-shujaat par jise Arab mein badaa buland maqaam haasil tha apni tareef karnaa chaahta to umooman aurat hi ko mukhaatab karta.Basaa Auqaat aurat chahti to qabaail ko sulah ke liye ikathha kardeti aur chahti to unke darmiyaan jang aur khoonrezi ke sho'ley bhadka deti.
-----------------------
अजानी समाज की कुछ झलकियाँ
अरब प्रायद्वीप की राजनीतिक और धार्मिक परिस्थितियों के जान लेने के अब यहां की सामाजिक ,आर्थिक, और नैतिक स्थिति की संक्षिप्त रूप रेखा पेश की जा रही है
सामाजिक स्तिथि अरब आबादी अनेक वर्गो पर संम्मिलित थी और हर वर्ग की स्तिथि एक दूसरे से बहुत ज्यादा भिन्न थी . चुनांचे उच्च वर्ग में मर्द और औरत का ताल्लुक़ अच्छा भला प्रगितिवादी था . औरत को बहुत स्वतन्त्रा प्राप्त थी , उसकी बात मानी जाती थी और उसका इतना सम्मान और इतनी सुरक्षा मिली हुई थी की इस राह में तलवारें निकल पड़ती थी और खून की नदियां बह जाती थी. आदमी जब अपनी कृपाओं और वीरताओं पर , जिसे अरब में ऊँचा स्थान प्राप्त था , अपनी प्रशंसा करना चाहता तो आमतौर पर औरत को ही सम्बोधित करता , कभी कभी औरत चाहती तो क़बीलों को समझौते के लिए इकठ्ठा कर देती और चाहती तो उनके बिच लड़ाई और रक्तपात के शोले भड़का देती
-----------------------
★ ASPECT OF PRE-ISLAMIC ARABIAN SOCIETY
After the research we have made into the religious and political life of Arabia, it is appropriate to speak
briefly about the social, economic and ethical conditions prevalent therein.
SOCIAL LIFE OF THE ARABS:
The Arabian Society presented a social medley, with different and heterogeneous social strata. The
status of the woman among the nobility recorded an advanced degree of esteem. The woman enjoyed a
considerable portion of free will, and her decision would most often be enforced. She was so highly cherished that blood would be easily shed in defence of her honour. In fact, she was the most decisive
key to bloody fight or friendly peace.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment