Search This Blog

Tuesday 18 September 2018

Part 65 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 65 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★Aur Hazrat Saad bin Abi Waqqas (r.a.) aur Abd bin Zam'a ke darmiyaan Zam'a ki Laundi ke bete - Abdur Rahman bin Zam'a - ke baare mein jo jhagdaa pesh aayaa tha woh bhi maloom wa ma'roof hai •  (03) Jaahiliyyat mein baap bete ka ta'lluq bhi mukhtalif nauiyyat ka tha. Kuchh to aise the jo kehte the, "Hamaari aulaad hamaare kaleeje hain jo roo-e-zameen par chalte phirte hain." Lekin doosri taraf kuchh aise bhi the jo ladkion ko ruswaai aur kharch ke khauf se zinda dafan kar dete the aur bachhon ko faqar-wa-faaqe ke dar se maar daalte the. •  (04) Lekin yeh kehna mushkil hei ke yeh sang dili bade paimaane par raaij thi, kiyuon ke Arab apne dushman se apni hifaazat ke liye doosron ki ba-nisbat kahein ziyaadah aulaad ke muhtaaj the aur is ka ehsaas bhi rakhte the.
-----------------------
★और हजरत साद बिन अबी वक्कास रज़ि० और अब्द बिन जमआ के दरमियान जमआ की लौंडी के बेटे अब्दुर्रहमान बिन जमआ के बारे में जो झगड़ा पेश आया था , वह भी जाना पहचाना और मालूम है , अज्ञानता युग में बाप-बेटे का ताल्लुक भी अनेक प्रकार का था , कुछ तो ऐसे थे जो कहते थे "हमारी सन्तान हमारे कलेजे हैं, जो धरती पर चलते फिरते हैं" लेकिन दूसरी ओर कुछ ऐसे भी थे जो लड़कियों को रुस्वाई और खर्च के डर से जिन्दा जमीन में गाड़ देते थे और बच्चो को भुखमरी के भय से मार डालते थे । लेकिन यह कहना कठिन है कि यह ज़ुल्म बड़े पैमाने पर चल रहा था , क्योंकि वे अपने शत्रु से अपनी रक्षा के लिए दूसरों के मुकाबले में कही ज्यादा सन्तान की जरूरत महसूस करते थे और इसका एहसास भी रखते थे
-----------------------
★With respect to the pre-Islam Arab’s relation with his offspring, we see that life in Arabia was paradoxical and presented a gloomy picture of contrasts. Whilst some Arabs held children dear to their hearts and cherished them greatly, others buried their female children alive because an illusory fear of poverty and shame weighed heavily on them. The practice of infanticide cannot, however, be seen as irrevocably rampant because of their dire need for male children to guard themselves against their enemies.
-----------------------------------------------------------
•  (03) Saheeh Bukhari, 2/999, 1065, Abu Da'ud
•  (04) Al~Quran 6:101-16:58,59-17:31-81:8
■ To be Continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment