Search This Blog

Wednesday 26 September 2018

Part 66 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 66 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★Jahaan tak sage bhaaion chachere bhaaion, aur kunbe-qabeele ke logon ke baahami ta'lluqaat ka mua'amla hei to yeh khaasse pukhta aur mazboot the, kiyuon ke Arab ke log qabaaili asbiyyat hi ke sahaare jeete aur usi ke liye marte the. Qabeele ke andar baahami ta'aawun aur ijtimaaiyyat ki rooh poori tarah kaar farma hoti thi. Jise asbiyyat kaa jazba mazeed do aatsha rakhta tha. Dar haqeeqat qaumi asbiyyat aur qaraabat ka ta'lluq hi un ke ijtimaai nizaam ki buniyaad thaa. Woh log is masal par is ke lafzi ma'na ke mutaabiq amal pairaa the ke (apne bhaai ki madad karo khuwah zaalim ho yaa mazloom) is masal ke ma’na mein abhi woh islaah nahin hui thi jo ba’d mein Islam ke zariye ki gai. Yaani zaalim ki madad yeh hei ke use zulm se baaz rakha jae. Albatta sharaf-o-sardaari mein ek doosre se aage nikal jaane ka jazba bahut si daf'a ek hi shakhs se wujood mein aane wale qabaail ke darmiyan jang ka sabab ban jaayaa kartaa thaa jaisaa ke Aws wa Khazraj , Abs wa Zubyaan aur Bakr wa taghlib waghairah ke waaqiaat mein dekha jaa sakta hai.
-----------------------
★जहाँ तक सगे भाइयो , चचेरे भाइयो और कुंबे-क़बीले के लोगो के आपसी ताल्लुक़ात का मामला है , तो ये अच्छे भले पक्के और मजबूत थे , क्योंकि अरब के लोग कबिलेवार पक्षपात ही के सहारे जीते और उसी के लिए मरते थे । क़बीले के भीतर आपसी सहयोग और सामूहिकता की भावना पूरी तरह काम कर रही होती थी , जिसे पक्षपाती भावना और अधिक जगाये रखती थी । सच तो यह है कि क़ौमी लगाव और रिश्ते-नाते का ताल्लुक ही उनकी सामूहिक व्यवस्था की बुनियाद थी । वे लोग इस कहावत के शब्दों पर पूरी तरह अमल कर रहे थे की ' अपने भाई की मदद करो , चाहे वह ज़ालिम हो या मज़लूम ' इस कहावत के अर्थ  में अभी वह सुधार नही हुआ था , जो बाद में इस्लाम द्वारा किया गया अर्थात ज़ालिम की मदद यह है कि उसे ज़ुल्म से रोका जाए , अलबत्ता बुजुर्गी और सरदारी में एक दूसरे से आगे निकल जाने की  भावना बहुत बार एक ही व्यक्ति से वजूद में आने वाले क़बीलों के बीच लड़ाई का वज़ह बन जाया करती थी , जैसा की औस व खजरज, अबस व जुबयान और बिक्र और तगलब आदि की घटनाओं में देखा जा सकता है
-----------------------
★Another aspect of the Arabs’ life which deserves mention is the bedouin’s deep-seated emotional attachment to his clan. Family, or perhaps tribal-pride, was one of the strongest passions with him. The doctrine of unity of blood as the principle that bound the Arabs into a social unity was formed
and supported by tribal-pride. Their undisputed motto was: “مظلوما أو ظالما أخاك انصر — Support your brother whether he is an oppressor or oppressed” in its literal meaning; they disregarded the Islamic amendment which states that supporting an oppressor brother implies deterring him from transgression. Avarice for leadership, and keen sense of emulation often resulted in bitter tribal warfare despite descendency from one common ancestor. In this regard, the continued bloody conflicts of Aws and Khazraj, ‘Abs and Dhubyan, Bakr and Taghlib, etc. are striking examples.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment