Search This Blog

Monday 22 October 2018

Part 69 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 69 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★Jahaan tak sana'ton ka mua'amla hei to Arab is maidaan mein saari duniya se pichhe the. Kapde ki bunaai aur chamde ki dibaaghat waghairah ki shakl mein jo chand sana'tein paai bhi jaati thein woh ziyaadah tar Yemen, Heerah aur Sham ke muttasil elaaqon mein thein. Albatta androon-e-Arab kheti-baadi aur galla baani ka kisi qadar riwaaj tha. Saari Arab auratein soot kaatti thein, lekin mushkil yeh thi ke saaraa maal wa mataa' hameshaa ladaaion ki zad mein rahta tha. Faqar wa bhook ki wabaa aam thi aur log zaroori kapdon aur libaas se bhi badi had tak mehroom rahte the.
-----------------------
★जहाँ तक उद्योगों का मामला है तो अरब इस मैदान में सारी दुनिया से पीछे थे । कपड़े की बुनाई और चमड़े की सफाई आदि की शक्ल में जो कुछ उद्योग पाये भी जाते थे , वे अधिकतर यमन , हियरा और शाम से मिले हुए क्षेत्रों में थे अलबत्ता अरब के भीतरी भागो में खेती-बाड़ी और जानवरों के चराने का कुछ रिवाज था । सारी अरब औरते सूत कातती थी , लेकिन मुश्किल यह थी की सारा माल व मता हमेशा लड़ाइयों के निशाने पर रहता  था । भुखमरी आम थी और लोग जरूरी कपडो और पहनावों  से भी बड़ी हद तक महरूम रहते थे
-----------------------
★Industry was alien to the Arabian psychology. Most of available industries of knitting and tannage in Arabia were done by people coming from Yemen, Heerah and the borders of Syria. Inside Arabia there was some sort of farming and stock-breeding. Almost all the Arabian women worked in yarn spinning but even this practice was continually threatened by wars. On the whole, poverty, hunger and insufficient clothing were the prevailing features in Arabia, economically.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment