Search This Blog

Friday, 23 November 2018

Part 74 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 74 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★5) Hilm-o-Burdbaari aur Sanjeedgi: Yeh bhi ahl-e-jaahiliyyat ke nazdeek qaabil-e-sataaish khoobi thi, magar yeh un ki had se badhti hui shujaa'at aur jang ke liye hama waqt aamaadgi ki aadat ke sabab naadir-ul-wujood thi.
6) Badwi Saadgi: Yaani taraddun ki aalaaishon aur daau paich se naa-waaqiiat aur doori. Is ka nateeja yeh tha ke un mein sachhaai aur amaanat paai jaati thi. Weh fareb kari aur bad ahdi se door aur mutanaffir the. Ham samajhte hain ke jazeeratul Arab ko saari duniya se jo jughrafiyaai nisbat baasil thi uske alawa yehi wo qeemti akhlaaq the jin ki wajah se Insaan ki qiyaadat aur risaalat-e-aamma ka bojh uthane ke liye muntakhab kiya gaya tha.
-----------------------
★5 ) सहनशीलता और गम्भीरता - यह भी अज्ञानता युग के लोगो के नजदीक एक बड़ा गुण था , पर यह उनकी हद से बढ़ी हुई वीरता और लड़ाई के लिए हर वक़्त तैयार रहने की आदत की वज़ह से कम पाया जाता था
6) बदवी सादगी - यानी सभ्यता की गंदगियों और दांव-पेंच का न जानना और उनसे दूरी । इसका नतीजा यह था कि उनमें सच्चाई और अमानतदारी पायी जाती थी। धोखाधड़ी और वायदों के पूरा न करने से दूर रहते और इन चीजों से नफरत करते थे. हम समझते हैं कि अरब प्रायद्वीप को सारी दुनिया से जो भौगोलिक सम्बन्ध था , उसके अलावा यही वे मूल्यवान गुण थे , जिनकी वजह से अरबो को मानव जाति का नेतृव करने और आम लोगो के लिए रिसालत का बोझ उठाने के लिए चुना गया
-----------------------
★6) Forbearance, perseverance and mildness: The Arab regarded these traits with great admiration,
no wonder, his impetuosity and courage-based life was sadly wanting in them.
7) Pure and simple bedouin life, still untarnished with accessories of deceptive urban appearances,
was a driving reason to his nature of truthfulness and honesty, and detachment from intrigue and treachery.Such priceless ethics coupled with a favourable geographical position of Arabia were in fact the factors that lay behind selecting the Arabs to undertake the burden of communicating the Message (of Islam) and leading mankind down a new course of life.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment