Search This Blog

Wednesday, 28 November 2018

Part 75 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 75 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Kyunki ye akhlaq agarche ba'z auqaat sharr-o-fasaad ka sabab ban jatey they aur inki wajah se aalamnaak haadsat pesh aa jate they.Lekin ye fi nafsihi badey keemti akhlaq they jo thodi si islaah ke baad insaani muashrey ke liye nihaayat mufeed ban saktey they.aur yehi kaam Islam ne anjaam diya. Ghaaliban in akhlaq mein bhi eifaa-e-ahad ke baad izzat-e-nafs aur pukhtagi-e-azm sab se giraan qeemat aur nafa baksh jauhar tha. Kyuki is quwwat-e-qahira aur azm-e-musammam ke bagair ka sharr-o-fasaad ka khaatma aur nizaam-e-adl ka qayaam mumkin nahin. Ahl-e-Jaahiliyyat ke kuchh aur bhi akh!aaq-e-faazila the lekin yahaan sab ka ihaata karna maqsood nahein.
-----------------------
★क्योंकि ये चरित्र यधपि कभी कभी फसाद और बिगाड़ का कारण बन जाते थे और इनकी वजह से दुखद घटनाएँ घट जाती थी , लेकिन ये अपने आप में बड़े मूल्यवान गुण थे, जो थोड़ा सा सुधरने के बाद मानव-समाज के लिए बड़े ही उपयोगी बन सकते थे और यही काम इस्लाम ने अंजाम दिया । शायद इन गुणों में भी वायदों का पूरा करना , उसके बाद स्वाभिमान और जो कह देते वह कर बैठते सरीखे गुण सबसे मूल्यवान गुण थे ,क्योंकि महान शक्ति और दृढ संकल्प के बिना बिगाड़ और फसाद का अन्त और न्याय-व्यवस्था की स्थापना संभव नही। अज्ञानता-युग के लोगो के कुछ और भी अच्छे गुण थे लेकिन यहाँ सबका उल्लेख करना आवश्यक नही है
-----------------------
★In this regard, these ethics per se, though detrimental in some areas, and in need of rectification in certain aspects, were greatly invaluable to the ultimate welfare of the human community and Islam has did it completely. The most priceless ethics, next to covenant-keeping, were no doubt their sense of self-esteem and strong determination, two human traits indispensable in combatting evil and eliminating moral corruption on the one hand, and establishing a good and justice-orientated society, on the other. Actually, the life of the Arabs in the pre-Islamic period was rich in other countless virtues we do not need to enumerate for the time being.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa  Allah

No comments:

Post a Comment