Search This Blog

Friday 23 August 2019

Part 81 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 81 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum (The sealed Nectar )
-----------------------------
★Un ka ek aham waaqiaa yeh hei ke woh tijaarat ke liye mulk-e-sham tashreef le gaye. Raaste mein Madinah pahunche to wahaan qabeela bani Najjar ki ek khaatoon Salma bin 'Amr se shaadi kar li aur kuchh dinon wahein thehre rahe. Phir Beewi ko haalat-e-hamal mein maike hi mein chhod kar mulk Sham rawaanaa ho gaye aur wahaan jaa kar Palestine ke shehar Ghazza mein intiqaal kar gaye. Idhar Salma ke batan se bachcha paida hua. Yeh 497 (A.D.) ki baat hei, choonki bachche ke sar ke baalon mein safedi thi is liye Salma ne us ka naam Shaiba rakha aur Yasrib mein apne maike hi ke andar us ki parwarish ki. Aage chal kar yehi bachcha Abdul Muttalib ke naam se mashhoor huaa. Arse tak khaandaan-e -Hashim ke kisi aadmi ko us ke wujood ka ilm na ho saka. Hashim ke kul chaar (4) bete aur paanch (5) betian thein jin ke naam yeh hain. Asa'd, Abu Saifi, Nazla. Abdul Muttalib - Shifa, Khalida, Za’ifa. Ruqyah aur Jannah.
-----------------------
★उनकी एक महत्वपूर्ण घटना ये है कि वे व्यापार के लिए शाम देश गये . रास्ते में मदीना पहुंचे तो वहां क़बीला बनी नज्जार की एक महिला सलमा बिन्त अम्र से विवाह कर लिया और कुछ दिनों वही ठहरे रहें . फिर बीवी को हमल के हालत में माँ के यहाँ छोड़कर शाम देश रवाना हो गए और वहां जाकर फ़लस्तीन के शहर गज्जा में देहांत हो गया . इधर सलमा के पेट से बच्चा पैदा हुआ . यह सन 497 ई०की बात है , चुकी बच्चे के सर के बालों में सफेदी थी इसलिए सलमा ने उसका नाम शैबा रखा . और यसरीब में अपने माँ के घर ही में उसकी परवरिश की . आगे चलकर यही बच्चा अब्दुल मुत्तलिब के नाम से मशहूर हुआ . एक समय तक हाशिम परिवार के किसी व्यक्ति को उसके अस्तित्व का ज्ञान ना हो सका . हाशिम के कुल चार बेटे और पाँच बेटियाँ थी - असद , अबू सैफी , फुज़ला ,अब्दुल मुत्तलिब , शिफा,खालिदा, जईफा , रुकैया और जन्न
-----------------------
★It was reported that he went to Syria as a merchant. In Madinah, he married Salma — the daughter of ‘Amr from Bani ‘Adi bin An-Najjar. He spent some time with her in Madinah then he left for Syria again while she was pregnant. He died in Ghazza in Palestine in 497 A.D. Later, his wife gave birth to ‘Abdul Muttalib and named him Shaiba for the white hair in his head , and brought him up in her father’s house in Madinah. None of his family in Makkah learned of his birth. Hashim had four sons; Asad, Abu Saifi, Nadla and ‘Abdul-Muttalib, and five daughters Ash-Shifa, Khalida, Da‘ifa, Ruqyah and Jannah.
-----------------------------------------------------------
To Be Continued ... In Shaa Allah

No comments:

Post a Comment