Search This Blog

Wednesday 28 August 2019

Part 82 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 82 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum (The sealed Nectar )
-----------------------------
★Abdul Muttalib: Pichhle safhaat se ma'loom ho chuka hei Siqaayaa aur Rifaadah ka mansab Hashim ke ba'd un ke bhaai Muttalib ko mila. Yeh bhi apni qaum mein badi khoobi wa ea’zaaz ke maalik the. Un ki baat taali nahin jaati thi. Unki sakhaawat ke sabab Quraish ne un ka laqab faiyyaz rakh chhoda tha. Jab Shaiba yaani Abdul Muttalib - das-baarah baras ke ho gaye to Muttalib ko un ka ilm huaa aur woh unhein lene ke live rawaana hue. Jab Yasrib ke qareeb pahunehe aur Shaiba par nazar padi to ashkbaar ho gaye, unhein seene se lagaa liya aur phir apni sawaari par pichhe bitha kar Makkah ke liye rawaana ho gae. Magar Shaiba ne Maa ki ijaazat ke baghair saath jaane se inkaar kar diva. Is liye Muttalib un ki maa se ijaazat ke taalib hue. Magar maa ne ijaazat na di. Aakhir Muttalib ne kahaa ke yeh apne waalid ki hukoomat aur Allah ke Haram ki taraf jaa rahe bain. Is par maa ne ijaazat de di aur Muttalib unhein apne oont par bitha kar Makkah le aaye.
-----------------------
★पिछले पृष्ठों से मालूम हो चूका है कि सिकाया और रिफादा का पद हाशिम के बाद उनके भाई मुत्तलिब को मिला . इनमे भी बड़ी खूबियां थी और इन्हें भी अपनी क़ौम में बड़ी प्रतिष्ठा प्राप्त थी . इनकी बात टाली नही जाती थी . इनकी दानशीलता के कारण क़ुरैश ने इनको दानी की उपाधि दे रखी थी. जब शैबा यानी अब्दुल मुत्तलिब 7 या 8 साल के हो गए तो मुत्तलिब को इनके बारे में मालूम हुआ और वह इन्हें लेने के लिए रवाना हुए. जब यसरीब के करीब पहुंचे और शैबा पर नजर पड़ी तो आँखों में आँसू आ गए । उन्हें सीने से लगा लिया और फिर अपनी सवारी पर पीछे बिठाकर मक्का के लिए रवाना हो गए मगर शैबा ने माँ की इजाज़त के बिना साथ जाने से इंकार कर दिया । इसलिए मुत्तलिब उनकी माँ से इजाज़त चाहने लगे पर माँ ने इजाज़त न दी , आखिर मुत्तलिब ने कहा यह अपने बाप की हुकूमत और अल्लाह के हरम की ओर जा रहे हैं इसपर माँ में इजाज़त दे दी और मुत्तलिब उन्हें ऊँट पर बिठाकर मक्का ले आए
-----------------------
★Abdul-Muttalib: We have already known that after the death of Hashim, the charge of pilgrims’ food and water went to his brother Al-Muttalib bin ‘Abd Munaf (who was honest, generous and trustworthy). When ‘Abdul-Muttalib reached the age of boyhood, his uncle Al-Muttalib heard of him and went to Madinah to fetch him. When he saw him, tears filled his eyes and rolled down his cheeks, he embraced him and took him on his camel. The boy, however abstained from going with him to Makkah until he took his mother’s consent. Al-Muttalib asked her to send the boy with him to Makkah, but she refused. He managed to convince her saying: “Your son is going to Makkah to restore his father’s authority, and to live in the vicinity of the Sacred House.
-----------------------------------------------------------
To Be Continued ... In Shaa Allah

No comments:

Post a Comment