Search This Blog

Saturday, 30 September 2017

Part 1 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
Part 1 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
Arab: Mahall-e-Wuqoo' aur Qaumein
★Seerat-e-Nabwi dar haqeeqat us paigham-e-Rabbani ke Amali partau se ibararat hai , jise Rasool-Allah Sall-Allahu Alaihi Wasallam ne insani jami'yyat ke saamne pesh kiya tha aur jis ke jariye insan ko taareekon se nikal kar roshni me aur bando ki bandagi se nikal kar khuda ki bandagi me dakhil kar diya tha.Choonki is seerat-e-Tayyaba ki mukammal soorat giri mumkin nahi jab tak ki is paigham-e-Rabbani ke nuzool se pahle ke halaat aur baad ke halaat ka taqaabul na kiya jaaye. Isliye asal bahas se pahle pesh-e-nazar bab me Islam se pahle ki Arab Aqwam aur unke nashw-o-Numa ki kaifiyat bayaan karte hue un halaat ka khaaka pesh kiya ja rahaa hai jin me Rasool-Allah Sall-Allahu Alaihi Wasallam ki be'sat hue thi.
Arab ka Mahall-e-Wuqoo
★Lafz Arab ke lughavi ma'na hai sehra aur be aab wo giyaah zameen. Ahad-Qadeem se ye lafz jazeera-e-Arab aur us me basne wali qaumo par bola gaya hai. Arab ke magrib me Bahr-e-Ahmar aur jazeera-e-numa-e-saina hai. Mashriq me khaleej-e-Arab aur junoobi Iraaq ka ek bada hissa hai. Junoob me Bahar-e-Arab hai Jo dar haqeeqat Bahar-e-Hind ka failao hai.Shumaal me mulk-e-Shaam aur kisi Qadar shumaali Iraaq hai. Un me se baaz sarhado ke mutaliq ikhtilaaf bhi hai.Kul raqbe ka andaaza das Laakh se terah laakh murabba meel tak kiyaa gaya hai.
💎To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment