Search This Blog

Monday, 2 October 2017

Part 2 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
Part 2 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Jazeera Numaa-e-Arab tab’ee aur jugraafiyat haisiyat se badi ahmiyat rakhta hai. Andarooni taur par ye har chahaar janib se sehra aur registan se gheera hua hai jiski badaulat ye aisi mehfooz qila ban gaya hai ki beirooni qaumon ke liye uspar qabza karna aur apna asar-o-nufooz phailana sakht mushkil hai. Yahi wajah hai ki qalb-e-Jazeera-tul-Arab ke baashinde ahd-e-qadeem se apna jumla mua’amalaat mein mukammal taur par aazad wa khud mukhtaar nazar aate hai. Halanki ye aisi do azeem taaqaton ke hamsaaya the ki agar ye thos qudrati rukawat na hoti to unke hamle rok lena baashindegaan-e-Arab ke bas ki baat na thi.
★Beirooni taur par Jazeera Numaa-e-Arab Purani duniya ke tamaam ma'loom Barr-e-Aazamoon ke beechon beech waaqe hei aur khushi aur samundar dono raaasto se inky saath juda hua hai.Iska shumal maghribi gosha, barr-e-Aazam Africa me daakhile ka darwaza hai.Shumal mashriqi gosha Europe ki kunji hai.Mashriqi gosha Iran, West-e-Asia aur mashriq-e-ba'eed ke darwaaze kholta hai aur Hindustan aur china  tak pahuchta hai.Isi tarah har barr-e-Aazam samundar k raastey bhi Jazeera Numaa-e-Arab se juda hua hai Ayr unky jahaaz Arab bandargaahon par baraah-e-raast langar andaaz hotey hai.
Is Jugraafiyaye Mahaoll-e-Wuqoo ki wazah se jazeeratul Arab k shumali aur junoobi goshe mukhtalif qaumon ki aamajagaah aur tijarat-o-saqafat aur funoon-o-mazaahib ke Len den ka markaz rah chukey hai.
💎To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment