Search This Blog

Sunday 8 October 2017

Part 3 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 3 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
Arab Qaumein
Muarrikheeen ne nasli aitbar se Arab Aqwam ki teen qismein qaraar di hai.
1) Arab baaidah: Yaani weh qadeem Arab qabaail aur qaumein Jo bilkul naapaid ho gaein aur unke muta'lliq zaroori tafseelat bhi dastiyaab nahi maslan Aaad,Samood,Tasam,Jadees,Amaaliqa wagairah.
2) Arab Aariba: Yani we Arab Qabaail Jo Yarub bin Yashjub bin Qahtan ki nasal se hai. Unhe Qahtaani Arab kaha jata hai.
3) Arab Musta'raba: Yani we Arab Qabaail Jo Hajrat Ismail(Alaihi Salam) ki nasal se hai. Unhey Adnaani Arab kaha jata hai.
Arab Aarba: Yani qahtaani Arab ka asal gehwara mulk Yemen tha. Yahi unke khandan aur qabeele mukhtalif shaakhon me phootey,phailey aur badhey. Unmey se do qabeelon ne badi shohrat haasil ki.
A) Himyar: Jiski mashhoor shaakhein Zaid-ul-Jamhoor,Quza'aa aur Sakasic hai.
B) Kahlan: Jinki mashhoor shaakhein Hamdaan,Anmaar,Tai,Muzhij,Kindah,Lakhm,Juzaam,Azad,Aws,Khazraj aur Aulaad-e-Jafna hai jinhoney aagey chalkr mulk-e-Sham ke atraaf me baadshaahat qaayam ki Aur Aal-e-Ghassan ke naam se mashhoor hue.
Aam Kahlaani Qabaail ne baad me Yemen chhod diya aur jazeera-tul-Arab ke mukhtalif atraaf me phail gaye. Unke umoomi tark-e-watan ka waaqiya sail-e-arim se kisi qadar pahle us waqt pesh aaya jab Roomion ne Mishr aur Shaam par qabza karkey Ahl-e-Yemen ki tijaarat ke baahri raaste par apna tasallut jamaa liya aur bari shaahraah ki sahooliyat ghaarat karke apna dabaao is qadar badha diya ke kahlaaniyon ki tijaarat tabaah ho kar rah gayi.
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment