Search This Blog

Sunday 8 October 2017

Part 4 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 4 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Kuch ajab nahi ki kahlaani aur Himyar khaandano chashmak bhi rahi ho aur ye bhi kahlaaniyon ke tark-e-watan ka ek muassir Sabab bani ho. Iska ishaarah is se bhi milta hai ki Kahlaani Qabaail ne to tark-e-watan kiya. Lekin Himyar Qabaail apni jagah barqaraar rahe.
Jin Kahlaani Qabaail ne tark-e-watan kiya unki chaar qismein ki ja sakti hai.
1) Azd:Unhone apney sardar Imran bin Muzaiqiya ke mashwarey par tark-e-watan kiya. Pahley to ye Yemen hi mein ek jagah se dusri jagah muntaqil hotey rahey aur halaat ka pata laganey ke liye aage aage haraawal daston ko bhejtey rahey. Lekin aakhirkar Shumaal ka rukh kiya aur phir mukhtalif shaakhein ghoomte ghumaate mukhtalif jagah daaimi taur par sukoonat pazeer ho gaye. Iski tafseel darj-e-zail hai.
Tha'laba Bin Amr:Isne  awwalan hijaaz ka rukh kiya aur Tha'laba aur Zi-Qar ke darmiyan iqaamat ikhtiyaar ki. Jab uski aulaad badi ho gayi aur khaandan mazboot ho gaya to Madina ke taraf kooch kiya aur isi ko apna watan bana liya. Isi Tha'laba ke nasal se Aws aur khazraj hai jo Tha'laba ke shahab zaade Haarisa ke bete hai.
Haarisa Bin Amr: Yani khuzaha'ah aur uski aulaad. Yeh log pahley sarzameen-e-hijaaz mein gardish kartey hue Marr-uz-Zahraan me khema zan hue. Phir Haram par dhawa bol diya aur banu Jurhum ko nikal kar khud Makka me bood-o-baash iktiyar karli.
Imran Bin Amr: Isne aur iski aulaad ne Oman me sukoonat ikhtiyaar ki. Isliye ye log Azd-e-Oman kahlaatey hai.
Nasar Bin Azd: Is se ta'lluq rakhne wali Qabaail ne Tihaamah qiyaam kiya. Ye log Azd-e-Shanua'h kahlatey hai.
Jafna Bin Amr: Isne mulk-e-Sham ka rukh kiya aur apni aulaad sameit wahi mutawattan ho gaya. Yahi shakhs Ghassani baadshaahon ka jadd-e-aa'laa hai. Unhey Aal-e-Ghassaan is liye kaha jata hai ki inlogon ne Shaam muntaqil hone se pahle hijaaz mein Ghassaan naami ek Chashme par kuch arsa qiyaam kiya tha.
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment