Search This Blog

Sunday 22 October 2017

Part 8 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 8 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Kuch arse baad Yemen se ek qabeela aaya Jise tareekh me Jurham thaani kahaa jaata hai. Ye qabeela Ismail Alaihi Salam ki maa se ijaazat le kar Makka mein thehar gaya. Kaha jata hai ki ye qabeela pehle Makka ke gird-o-pesh ki waadion mein sukoonat pazeer tha. Saheeh Bukhari mein itni saraahat mauzud hai ki (rihaaish ki gharaz) se yeh log Makka mein Hazrat Ismail Alaihi Salam ke aamad ba'd aur un ke jawaan hone se pehle waarid hue the. Lekin is waadi se unka guzar isse pehle bhi hua karta tha.
Hazrat Ibrahim Alaihi Salam apne matrookat ki nigehdaasht ke liye waqtan fawaqtan Makka tashreef laaya karte the. Lekin ye maloom na ho saka ki is tarah unki aamad kitni baar hue. Albatta tareekhi maakhaz mein chaar baar unki aamad ki tafseel mahfooz hai jo yeh hai.
1). Quran majeed mein bayaan kiya gaya hai ki ALLAH Ta'la ne Hazrat Ibrahim Alaihi Salam Ko khuaab mein dikhaya ke woh apne saahab zaade (Hazrat Ismail Alaihi Salam) ko zabah kar rahe hai. Ye khuaab ek tarah se hukm-e-Ilaahi tha aur Baap bete dono is hukm-e-Ilaahi kj taameel ke liye tayyar ho gaye. Aur jab dono ne sar-e-tasleem kham kar diya aur baap ne bete ko peshaani ke bal lita diya to ALLAH ne pukaara 'ae Ibrahim tumne khuaab ko sach kar dikhaaya. Ham nekoo kaaron ko isi tarah badla dete hai. Yaqeenan Yeh ek khuli hue aazmaaish thi aur ALLAH ne unhein fidye mein ek azeem zabeeha ata farmaya.
Majmooa' Bible ki kitaab-e-paidaaish mein mazkoor hai Hazrat Ismail Alaihi Salam Hazrat Ishaaq Alaihi Salam se terah saal bade the aur Qur'an ke siyaaq batlata hai ki ye waaqia hazrat Ishaaq Alaihi Salam ki paidaaish se pehle aaya tha. Kiyunki poora waaqia bayaan kar chukne ke ba'd Hazrat Ishaaq Alaihi Salam Ki paidaish ki bashaarat ka zikr hai.
-----------------------------------------------------------
Note-5  Saheeh Bukhari , 1/475
Note-6 Surha Saffat , 103-107
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment