Search This Blog

Sunday 3 December 2017

Part 19 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 19 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Ardashir ke ahad mein Heerah. Baadial-uI-Iraq aur Jazeera ke Rabi’ah aur Mudar qabaail par Jazimatul-Wazah ki hukumraani thi. Aisa ma’Ioom hota hai ki Ardashir ne mahsoos kar liyaa than ke Arab baashindon par baraah-e-raast hukoomat karnaa aur unhein sarhad par Ioot-maar se ba'z rakhnaa mumkin nahin. balki is ki sirf ek hi soorat hai ki khud kisi aise Arab ko un kaa hukumraan banaa diyaa jaae jise apne kunbe-qabeele ki himaayat wa taa'eed haasil ho. Is ka ek faaida yeh bhi hoga ki ba-waqt-e-zaroorat Roomion ke khilaaf un se madad li jaa sakegi aur Shaam ke Roomi nawaaz Arab hukumraanon ke muqaabil Iraq ke in Arab hukumraanon ko khadaa kiya jaa sakega.
Shaahaan-e-Heerah ke paas Faarsi fauj ki ek unit hamesha rahaa karti thi jis se baadia nasheen Arab baghion ki sarkoobi ka kaam liyaa jaataa tha.
★268 A.D. ke arse mein Jazeema faut ho gayaa aur 'Amr bin 'Adi bin Nasr Al-Lakhmi us ka jaanasheen hua. Yeh Qabeela-e-Lakhm ka pehla hukumraan tha aur Shaapoor Ardashir ka ham-asar tha. Us ke ba'd Qabaz bin Fairuz ke ahad tak Heerah par Lakhmion ki musalsal hukumraani rahi. Qabaz ke ahad mein Mazdak ka zuhoor huaa jo abaahiyat ka alambardaar thaa. Qabaz aur us ki bahut si ria'ayaa ne Mazdak ki ham-nawaai' ki. Phir Qabaz ne Heerah ke Baadshaah Munzir bin Ma'-us-Sama' ko paighaam bhejaa ke tum bhi yehi mazhab ikhtiyaar kar lo. Munzir badaa ghairat mand thaa, inkaar kar beittha. Nateeja yeh huaa ke Qabaz ne use ma'zool kar ke us ki jagah Mazdaki ki dawat ke ek pairaukaar Haarith bin 'Amr bin Hajar Al-Kindi ko Heerah ki hukumraani saunp di.
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment