Search This Blog

Monday, 4 December 2017

Part 18 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 18 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
Heerah ki Baadshaahi:
★ Iraq aur us ke nawaahi elaaqon par Korosh-e-Kabeer (Khoras ya Saairas Zul-qarnain 557 B.C.-529 B.C.) ke zamaane hi se Ahl-e-Faaras ki hukumraani chali aa rahi thi. Koi na thaa jo un ke madd-e-muqaabil aane ki jur'at kartaa yahaan tak ki 326 (B.C.) mein Sikandar Maqdooni ne Dara Awwal ko shikast de kar Faarsion ki taaqat tod di jis ke nateeje mein unkaa mulk tukde-tukde ho gayaa aur tawaa'if-ul-Mulooki shuroo ho gai. Yeh intishaar 230 A.D. tak jaari rahaa aur usi dauraan Qahtaani qabaail ne tark-e-watan kar ke Iraq ke ek bahut bade shaadaab sarhadi elaaqe par bood-o-baash ikhtiyaar ki. Phir Adnaani tarikeen-e-watan ka railaa aayaa aur unhon ne lad-bhid kar Jazeera faraatia ke ek hisse ko apna maskan bana liya.
★Udhar 226 A.D. mein Ardashir ne jab Saasaani hukoomat ki daagh-bail daali to rafta-rafta Faarsion ki taaqat ek baar phir palat aai’. Ardashir ne Faarsion ki sheereaza bandi ki aur apne mulk ki sarhad par aabaad Arabon ko zair kiyaa. Isi ke nateeje mein Qudaa'a ne mulk-e-Shaam ki raah li, jab ki Heerah aur Anbaar ke Arab baashindon ne baajguzaar bannaa gawaaraa kiyaa.
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment