Search This Blog

Tuesday 27 February 2018

Part 5 of 80 - Surat-ul-Faatiha(Tafseer)

Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 5 of 80 - Surat-ul-Faatiha
✦ Al-Quran (Tafseer Ibn-e-Kaseer)
-----------------------------
★– Is Hadis Ke Aur Bi Bahut Se Andaz Bayan Hain, Maslan Musnad Ahmad Me Hai ● (1) Ke Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Jab Unhe Pukara Tou Ye Namaz Me They, Ittefat Kiya Magar Jawab Na Diya, Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Phir Pukara Hazrat Abi Ne Namaz Mukhtasar Kar Di Aur Farig Hokar Jaldi Se Hazir Khidmat Huye, “Assalam Walekum” Arz Kiya
Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam)Ne Jawab Dekar Farmaya: “Abi Tumne Mujhe Jawab Kyun Na Diya?”
Kaha: “Huzur Mai Namaz Me Tha ,..”
Aapne Wahi Ayat Padh Kar Farmaya: “Kya Tumne Ye Ayat Nahi Suni ?”
Kaha: “Huzur Galati Huyi Ab Aisa Na Karunga,..”
Aap Ne Farmaya: “Kya Tum Chahte Ho Ke Mai Tumhe Ek Aisi Surat Bataon Ke Taurat, Injil Aur Zabur Aur Quran Me Is Jaisi Surat Na Ho,.. ? ”
Maine Kaha: “Huzur! Irshad Farmaye”
Aap Ne Farmaya: “Yahan Se Jaane Se Pehle Hi Mai Tumko Bata Dunga, Phir Huzur Mera Haath Thame Huye Aur Baatein Karte Rahe Aur Maine Apni Chal Dhimi Kar Di Ke Aisa Na Ho Ke Wo Baat Reh Jaye Aur Aap Bahar Chale Jaaye, Akhir Jab Darwaze Ke Kareeb Pahunch Gaye Tou Maine Apko Wo Wada Yaad Dilaya,..
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam)Ne Farmaya: “Namaz Me Kya Padhte Ho?”
Maine Ummul Quran Padh Kar Sunai, Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: Us Khuda Ki Kasam Jis Ke Haath Me Meri Jaan Hai, Taurat, Injil, Zabur Aur Quran Me Is Jaisi Koi Aur Surat Nahi,.. Ye Saba Masani Hai,”

Tirmazi Me Mazid Ye Bhi Hai Ke Yahi Wo Bada Quran Hai Jo Mujhe Ata Farmaya Gaya Hai..● (2)
– Ye Hadis Husn Sahi Hai Hazrat Anas (Razi Allah Taala Anhu) Se Bi Is Baab Me Ek Hadis Marwi Hai ● (3) Musnad Ahmad Ki Ek Matul Hadis Me Bhi Isi Tarah Marwi Hai, Nisai Ki Riwayat Me Ye Alfaz Bhi Hai Ke Ye Surat Allah Ta’ala Aur Bande Ke Darmiyan Takseem Kar Di Gayi Hai, Tarmizi Ise Husn Garib Kehte Hai,.● (4)
-----------------------------------------------------------
●(1) Musnad Ahmad-Sahih
●(2) Jam e Tirmizi-Sahih
●(3) Al-Silsila-As-Sahiha
●(4) Jam e Tirmizi-Sahih
◆◆◆To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment