Search This Blog

Wednesday 7 March 2018

Part 6 of 80 - Surat-ul-Faatiha(Tafseer)

Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 6 of 80 - Surat-ul-Faatiha
✦ Al-Quran (Tafseer Ibn-e-Kaseer)
-----------------------------
★Musnad Ahmad Me Hazrat Abdullah Bin Jabir (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Mai Ek Martaba Rasul’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Pas Aaya, Aap Us Waqt Istanje Se Farig Huye Hi They Maine Teen Martaba Salam Kiya Lekin Aapne Ek Dafa Bhi Jawab Nahi Diya, Aap Ghar Me Tashrif Le Gaye Aur Mai Gam Aur Ranj Ki Halat Me Masjid Me Chala Gaya Thodi Der Baad Taharat Karke Aaye Aur Teen Martaba Hi Mere Salam Ka Jawab Diya, Phir Farmaya “Aye Jabir Bin Abdullah Suno! Tamam Quran Me Behtrin Surat “Alhamdullillah Rabbil Alameen Akhir Tak Hai”
● (1) Isi Asnad Bahut Hi Umda Hai, Ibn Akeel Jo Iska Rawi Hai, Iski Hadis Bahut Bade-Bade Ayyimma Riwayat Karte Hain Aur Abdullah Bin Jabir Se Murad “Abdi Sahabi” Hai..
– Ibn Aljozi Ka Bi Yahi Qaul Hai, Wallahu Alam, Hafiz Ibn Asakar Ka Kaul Hai Ke Ye Abdullah Bin Jabir Ansari Bayazi Hai. Ye Hadis Aur Is Jaisi Aur Ahadis Se Istadlal Karke Ishaq Bin Rahu, Ya Abubaqr Bin Arbi Ibn Alhafar Aksar Allama Ne Kaha Hai Ke Baaz Aaytein Aur Baaz Suratein Baaz Par Fazilat Rakhti Hain Yahi Ek Dusri Jamat Ka Bhi Khayal Hai Ke Qalaam Allah Kal Ka Kal Fazilat Me Ek Sa Hai, Ek Ko Ek Par Fazilat Dene Se Ye Kabahat Hoti Hai Ke Dusri Ayatein Aur Suratein Isse Kam Darje Ki Nazar Ayeingi Halanke Qalam Alllah Sara Ka Sara Fazilat Wala Hai Kartabi Ne Ashari Aur Abubakr Baqlani Aur Abu Hatim Bin Hasban Aur Yahyah Se Yahi Nakal Kiya Hai,.. Imam Malik Se Bhi Yahi Riwayat Hai, Ye Mazhab Mankaul Hai (Lekin Sahi Aur Mutabik Hadis Pehla Qaul Hai Wallaho Alam, Mutarjam)
Surah Fateha Ke Fazail Ki Mandarje Bala Hadison Ke Alawa Aur Hadisein Bhi Hain, Sahih Bukhari Sharif Fazail Al Quran Me Hazrat Abu Sayeed Khudri (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke:
Hum Ek Martaba Safar Me Ek Jagah Utre Huye They, Nagahan Ek Laundi Aayi Aur Kaha Ke Yahan Ke Kabile Ke Sardar Ko Sanp Ne Kaat Khaya Hai, Humare Admi Yahan Maujud Nahi Hai Aap Me Se Koi Aisa Hai Ke Jhad Phunk Kar De?Hum Me Se Ek Shakhs Uth Kar Uske Sath Ho Liya, Hum Nahi Jante They Ke Ye Kuch Jhad Phunk Bhi Janta Hai, Usne Wahan Ja Kar Kuch Padh Kar Dam Kar Diya Allah Ke Fazal Se Wo Bilkul Achha Ho Gaya Tees Bakriyan Usne Di Aur Humari Mehmani Ke Liye Dudh Bi Bahut Sara Bheja Jab Wo Wapis Aaye Tou Humne Puchha Kya Tumhe Jhad Phunk Ka Ilm Tha?Usne Kaha Maine To Sirf Surah Fateha Padh Kar Dam Kiya Hai Humne Kaha Hai Is Aaye Huye Maal Ko Abhi Mat Chhedo Pehle Rasul’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Masail Puchh Lo!Madine Me Aake Humne Rasul’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Zikr Kiya,..Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: “Usey Kaise Malum Hua Ke Ye Padh Kar Dam Karne Ki Surat Hai ?”Farmaya: “Is Maal Ke Hisse Ko Lo! Mera Bhi Ek Lagana,..”Sahih Muslim Sharif Aur Abu Daud Me Ye Hadis Hai,
● (2) Muslim Ki Baaz Riwayaton Me Hai Ke Dam Karne Wale Hazrat Abu Sayeed Khudri (RaziAllahu Anhu) Hi They,..
-----------------------------------------------------------

● (1) Musnad Ahmad-Hasan Bashwahid
● (2) Sahih Bukhari
◆◆◆To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment