Search This Blog

Wednesday 7 March 2018

Quran Tafseer Quiz-6

◆ Part 6 of 80 Tafseer(Fatiha) Quiz◆
Hazrat Abu Sayeed Khudri(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke Hum Ek Martaba Safar Me Ek Jagah Utre Huye They, Nagahan Ek Laundi Aayi Aur Kaha Ke Yahan Ke Kabile Ke Sardar Ko Sanp Ne Kaat Khaya Hai, Humare Admi Yahan Maujud Nahi Hai Aap Me Se Koi Aisa Hai Ke Jhad Phunk Kar De?Hum Me Se Ek Shakhs Uth Kar Uske Sath Ho Liya, Hum Nahi Jante They Ke Ye Kuch Jhad Phunk Bhi Janta Hai, Usne Wahan Ja Kar Kuch Padh Kar Dam Kar Diya Allah Ke Fazal Se Wo Bilkul Achha Ho Gaya Tees Bakriyan Usne Di Aur Humari Mehmani Ke Liye Dudh Bi Bahut Sara Bheja Jab Wo Wapis Aaye Tou Humne Puchha Kya Tumhe Jhad Phunk Ka Ilm Tha?Usne Kaha Maine To Sirf (--------------) Padh Kar Dam Kiya Hai
A) Aayat-ul-Kursi
B) Durud-e-Ibrahim
C) Surah Fateha
D) Upar ke sab sahi hai
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
C is the correct answer

No comments:

Post a Comment