Search This Blog

Monday 28 May 2018

Part 50 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 50 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Yehi Deen - yaani shirk wa butparasti aur tawahhumaat wa khuraafaat par mabni aqeeda wa amal waalaa deen - aam ahl-e-Arab ka deen tha. Is ke elaawah Jazeeratul-Arab ke mukhtalif atraaf mein Yahoodiyyat, Maseehiyyat, Majoosiyyat aur Saabiyyat ne bhi dar aane ke mawaaqe paa liye the, lihaazaa un ka tareekhi khaaka bhi mukhtasaran pesh kiyaa jaa rahaa hei. Jazeeratul-Arab mein Yahood ke kam az kam do (2) adwaar hain, Pahla daur us waqt se ta'lluq rakhta hei jab Palestine mein Baabul aur Aashur ki hukoomat ki futoohaat ke sabab Yahoodion ko tark-e-watan karna para. Is hukoomat ki sakht giri aur Bukhtanassar ke haathon Yahoodi bastion ki tabaahi wa viraani, unke Heikal ki barbaadi aur unki aksariyyat ki mulk Babul ko jila watni ka nateeja veh hua ki Yahood ki ek jama'at Palestine chhod kar Hijaaz ke shumaali atraaf mein jaa busi.•  (16)
-----------------------
★यही दीन अर्थात शिर्क व बुत परस्ती और अंधविश्वास और व्यर्थं के कामो पर आधारित विश्वास व कार्य वाला दीन-सामान्य अरब वासियो का दीन था. इसके अलावा अरब प्रायदीप के विभिन्न भागों में यहूदी, ईसाई,मजूसी और साबी धर्मावलम्बियों ने भी पनपने के अवसर प्राप्त कर लिए थे , इसलिए इनका ऐतिहासिक स्वरुप भी संक्षेप में पेश किया जा रहा है. अरब प्रायदीप में यहूदियों के कम से कम दो युग हैं . पहला युग उस समय से ताल्लूक रखता है जब फलस्तीन में बाबिल और आशूर के राज्यो की जीतों की वजह से यहूदियों को देश-परित्याग करना पड़ा. इस राज्य के दमन-चक्र और बख्ते नस्र के हाथों युहुदी बस्तियों की तबाही व वीरानी, उनके हैकल की बर्बादी और उनके बहुसंख्य के देश-निकाला दिए जाने का नतीजा यह हुआ की यहूदियों का एक गिरोह फ़लस्तीन छोड़ कर हिजाज के उत्तरी भागों में जा बसा
-----------------------
★Al~Quran : “It is not Al-Birr (piety, righteousness, etc.) that you enter the houses from the back but Al-Birr (is the quality of the one) who fears Allâh. So enter houses through their proper doors, and fear Allâh that you may be successful.” [2:189].Such was the religious life in Arabia, polytheism, idolatry, and superstition. Judaism, Christianity, Magianism and Sabianism, however, could find their ways easily into Arabia.The migration of the Jews from Palestine to Arabia passed through two phases: first, as a result of the pressure to which they were exposed, the destruction of the their temple, and taking most of them as captives to Babylon, at the hand of the King Bukhtanassar. In the year B.C. 587 some Jews left Palestine for Hijaz and settled in the northern areas whereof.
-----------------------------------------------------------
•  (16) Qalb-e-Jazeerat-ul-Arab Safha 251
■ To be Continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment