Search This Blog

Sunday, 8 July 2018

Part 56 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 56 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★ Deeni Haalat: Jis waqt Islam ka naiyyar-e-taabaan tuloo hua hei yehi mazaahib wa adayaan the jo Arab mein paae jaate the. Lekin yeh saare hi mazaahib shikast-o-rekhat se do-chaar the. Mushrikeen jin ka dawa tha ke hum deen-e-Ibrahimi par hain, shareea't-e-Ibrahimi ke awaamir-o-nawaahi se koson door the. Us shareea’t ne jin makarim-e-akhlaaq ki taleem di thi un se in mushrikeen ko koi waasta na tha. In mein gunaahon ki bharmaar thi aur tool-e-zamaane ke sabab un mein bhi butparaston ki wahi aadaat-o-rusoom paida ho chali thin jinhein deeni khuraafaat ka darja haasil hei. In aadaat-o-rusoom ne un ki ijtimaai, siyaasi aur deeni zindagi par nihaayat gehre asraat daale the.
-----------------------
★ धार्मिक स्थिति : जिस समय इस्लाम सूर्य उदित हुआ , यही दीन-धर्म थे जो अरब में पाए जाते थे , लेकिन ये सारे धर्म टूट-फूट के शिकार थे . मुशरिक जिनका दावा था कि हम दीने इब्राहीमी पर हैं , इब्राहीमी शरीअत के करने , न करने के आदेश से कोसो दूर थे . इस शरीअत ने जिस नैतिकता की शिक्षा दी थी , उनसे इन मुशरिकों का कोई ताल्लुक़ न था . उनमे गुनाहों की भरमार थी और लम्बा समय बीतने के कारण इनमे भी बुत परस्तों की वही आदते और रस्मे पैदा हो चली थी , जिन्हें धार्मिक अंधविश्वास का पद प्राप्त है . इन आदतों और रस्मो ने उनके सामूहिक , राजनितिक और धार्मिक जीवन पर बड़े गहरे प्रभाव डाले थे
-----------------------
★ THE RELIGIOUS SITUATION: Such was the religious life of the Arabians before the advent of Islam. The role that the religions prevalent played was so marginal, in fact it was next to nothing. The polytheists, who faked
Abrahamism, were so far detached from its precepts, and totally oblivious of its immanent good
manners. They plunged into disobedience and ungodliness, and developed certain peculiar religious
superstitions that managed to leave a serious impact on the religious and socio-political life in the whole of Arabia.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment