Search This Blog

Wednesday 3 October 2018

Part 67 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 67 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★Jahaan tak mukhtalif qabaail ke ek-doosre se ta'lluqaat ka mua'amla hei to yeh poori tarah shikasta wa rekhta the. Qabaail ki saari quwwat ek-doosre ke khilaf jang mein fanaa ho rahi thi, albatta deen aur khuraafaat ke aameze se tayyar shudah ba'z rusoom-o-aadaat ki badaulat basaa auqaat jang ki hiddat wa shiddat mein kami aa jaati thi aur ba'z haalaat mein muwaalaat. halaf aur tabedaari ke usoolon par mukhtalif qabaail yakja ho jaate the. Elaawah azein haraam maheene un ki zindagi aur husool-e-mua'ash ke liye saraapaa rahmat wa madad the. Khulaasa yeh ke ijtimaai haalat zua'f wa be-baseerati ki pasti mein giri hui thi. jahal apni tanaabein taane hue tha aur khuraafaat ka daur-daurah tha. Log jaanwaron jaisi zindagi guzaar rahe the. Aurat bechi aur khareedi jaati thi aur ba'z auqaat us se mitti aur patthar jaisa sulook kiya jaataa tha. Qaum ke baahami ta'lluqaat kamzor balki toote hue the aur hukoomaton ke saare azaaim apni ria’ayaa se khazaane bharne ya mukhaalifeen par fauj kashi karne tak mahdood the.
-----------------------
★जहाँ तक विभिन्न क़बीलों के एक दूसरे से ताल्लुक़ात का मामला है तो ये पूरी तरह खंडित थे , क़बीलों की सारी ताक़त एक दुसरे के खिलाफ लड़ने में खत्म हो रही थी , अलबत्ता दीन और अंधविश्वास की मिलावट से तैयार हुए कुछ रस्म व रिवाज और आदतों की वजह से कभी कभी लड़ाई की गर्मी और तेजी में कमी आ जाती थी और कुछ हालात में समझौते और ताबेदारी के नियमो पर विभिन्न क़बीले इकठ्टे हो जाते थे । इनके अलावा हराम महीने उनके जीवन के लिए और रोज़ी रोटी हासिल करने में पुरी तरह सहायक थे क्योंकि अरब उनके सम्माननिय होने पर बहुत ध्यान देते थे । सार यह है कि सामुहिक दशा कमजोरी और बेसुझ-बुझ के गढ़े में गिरी हुई थी , अज्ञान अपनी कमाने ताने हुए था और अंध्विश्वास का दौर-दौरा था । लोग जानवरो जैसी जिंदगी गुजार रहे थे । औरत बेचीं और खरीदी जाती थी और कभी कभी उस से मिट्टी और पत्थर जैसा व्यवहार किया जाता था । क़ौम के आपसी ताल्लुक़ात कमजोर , बल्कि टूटे हुए थे और राज्यो की सारी गतिविधियां अपनी जनता से खजाने भरने या विरोधियो पर हमला कर देने तक सीमित थी
-----------------------
★Inter-tribal relationships were fragile and weak due to continual inter-tribal wars of attrition. Deep
devotion to religious superstitions and some customs held in veneration, however, used to curb their impetuous tendency to quench their thirst for blood. In other cases, there were the motives of, and respect for, alliance, loyalty and dependency which could successfully bring about a spirit of rapport, and abort groundless bases of dispute. A time-honoured custom of suspending hostilities during the prohibited months (Muharram, Rajab, Dhul-Qa‘dah, and Dhul-Hijjah) functioned favourably and provided an opportunity for them to earn their living and coexist in peace. We may sum up the social situation in Arabia by saying that the Arabs of the pre-Islamic period were groping about in the dark and ignorance, entangled in a mesh of superstitions paralyzing their mind and driving them to lead an animal-like life. The woman was a marketable commodity and regarded as a piece of inanimate property. Inter-tribal relationships were fragile. Avarice for wealth and involvement
in futile wars were the main objectives that governed their chiefs’ self-centred policies.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment