Search This Blog

Tuesday, 30 January 2018

Eh bani isareel humne tumhe tumhare dushman se nijat di

Bismillahhirrahmanirrahim
Eh bani isareel humne tumhe tumhare dushman se nijat di
-----------------------
★Eh bani isareel humne tumhe tumhare dushman se nijat di aur tumse tur ke dahini taraf ka wada kiya aur tumhare liye (aasman se) Mann aur salwa nazil kiya
Al~Quran,Surah Taa-Haa(20),Aayat-80
-----------------------
★ऐ बनी इसराइल हमने तुम्हें तुम्हारे दुश्मन से निजात दी और तुमसे तूर के दाहिने तरफ का वादा किया और तुम्हारे लिए (आसमान से)मन और सलवा नाजिल किया
अल~कुरान,सूरह ताहा(20),आयत-80
-----------------------
اے بنی اسرائیل ہم نے تمہیں تمہارے دشمن سے نجات دی اور تم سے طور کی دائیں طرف کا وعدہ کیا اور تم پر من و سلویٰ اتارا-
القرآن،سورة طه(٢٠)،آیت-٨٠
-----------------------
★O Children of Israel! We delivered you from your enemy, and We made a covenant with you on the right side of the Mount, and We sent down to you Al-manna and Salwa (quails)
Al~Quran,Surah Taa-Haa(20),Verse 80
-----------------------------------------------------------

Islamic Quiz-142

⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Wo Kaunse Nabi ki qaum thi jiske liye aasaman se khana (Mann-Salwa) nazil hota tha?
A) Isa alaihi Salam ki Qaum
B) Nooh Alaihi Salam ki Qaum 
C) Musa alaihi Salam ki Qaum 
D) Ibrahim Alaihi Salam ki Qaum
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
C is the correct answer

Jisne kisi insaan ko khoon ke badle ya zameen mein fasaad failane ke siwa kisi aur wajah se Qatl kiya to usne tamam insaano ko Qatl kar diya

Bismillahhirrahmanirrahim
Jisne kisi insaan ko khoon ke badle ya zameen mein fasaad failane ke siwa kisi aur wajah se Qatl kiya to usne tamam insaano ko Qatl kar diya
-----------------------
★Jisne kisi insaan ko khoon ke badle ya zameen mein fasaad failane ke siwa kisi aur wajah se Qatl kiya to usne tamam insaano ko Qatl kar diya aur jisne kisi ko zindagi bakshi usney jaise tamam insaano ko zindagi bakshi aur hamare Rasool unke paas khule hukm la chuke hain phir bhi unmein se kuch log zameen mein zyadatiyan karne wale hai.
Al~Quran,Surah Al-Maeda(5),Aayat-32
-----------------------
★जिसने किसी इंसान को खून के बदले या ज़मीन में फ़साद फ़ैलाने के सिवा किसी और वजह से क़त्ल किया तो उसने तमाम इंसानो को क़त्ल कर दिया और जिसने किसी को ज़िंदगी बख्शी उसने जैसे तमाम इंसानो को ज़िंदगी बख्शी और हमारे रसूल उनके पास खुले हुक्म ला चुके हैं फिर भी उनमें से कुछ लोग ज़मीन में ज़्यादतीयाँ करने वाले हैं
अल~क़ुरान,सुरह अल-मायदा(5),आयत-32
-----------------------
جس نے کسی انسان کو خون کے بدلے یا زمین میں فساد پھیلانے کے سوا کسی اور وجہ سے قتل کیا گویا اس نے تمام انسانوں کو قتل کر دیا اورجس نےکسی کو زندگی بخشی اس نے گویا تمام انسانوں کی زندگی بخشی اورہمارے رسولوں ان کے پاس کھلے حکم لا چکے ہیں پھر بھی ان میں سے بہت لوگ زمین میں زیادتیاں کرنے والےہیں-
القرآن،سورة المائدة(٥)،آیت-٣٢
-----------------------
★If anyone killed a person not in retaliation of murder, or (and) to spread mischief in the land - it would be as if he killed all mankind,and if anyone saved a life, it would be as if he saved the life of all mankind. And indeed, there came to them Our Messengers with clear proofs, evidence, and signs, even then after that many of them continued to exceed the limits in the land!
Al~Quran,Surah Al-Maeda(5),Verse-32
-----------------------------------------------------------

Monday, 29 January 2018

Sone se Pahle ki Dua

Bismillahhirrahmanirrahim
Sone se Pahle ki Dua
-----------------------
★Huzefa Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  jab apne bistar par let-te to ye farmate
اللَّهُمَّ  بِاسْمِكَ أَمُوتُ و َأَحْيَا
(Allahumma Bismika Amutu wa Aahya)Ya ALLAH, tere hi naam ke saath main marta hun  aur zinda rahta hu.
Sahih Bukhari,Jild-7, Hadith-6312
-----------------------
★हुजैफा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह साल-अल्लाहू अलैही वसल्लम   जब अपने बिस्तर पर लेट-ते तो ये फरमाते
اللَّهُمَّ  بِاسْمِكَ أَمُوتُ و َأَحْيَا
(अल्लहुम्मा बिस्मिका अमुतु वा आहया)या अल्लाह, तेरे ही नाम के साथ मैं मरता हूँ और ज़िंदा रहता हूँ
सही बुखारी,जिल्द-7,हदिस-6312
-----------------------
حذیفہ بن یمان رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم جب اپنے بستر پر لیٹتے تو یہ کہتے «باسمك أموت وأحيا» ”تیرے ہی نام کے ساتھ میں مردہ اور زندہ رہتا ہوں“
صحيح بخارى،جلد-٧،حديث-٦٣١٢
-----------------------
★Narrated Hudhaifa Radhi Allahu Anhu : When the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam went to bed at night, he would put his hand under his cheek and then say
اللَّهُمَّ  بِاسْمِكَ أَمُوتُ و َأَحْيَا
(Allahumma bismika amutu wa ahya)Oh Allah with your Name Do I Die and I live.
Sahih Bukhari,Book-75,Hadith-326
-----------------------------------------------------------

Islamic Quiz-141

⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ye dua
اللَّهُمَّ  بِاسْمِكَ أَمُوتُ و َأَحْيَا
Allahumma Bismika Amutu wa Aahya kis waqt padha karte they ?
A) Ghar se Nikalte Waqt
B) Raat ko sote Waqt
C) Subah ko bedar hote Waqt
D) Khane ke baad
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
B is the correct answer

So Jab tum Quran padhne lago to Shaitan mardood se Allah ki panah me aa jaya karo

Bismillahhirrahmanirrahim
So Jab tum Quran padhne lago to Shaitan mardood se Allah ki panah me aa jaya karo
-----------------------
★So Jab tum Quran padhne lago to Shaitan mardood se Allah ki panah mein aa jaya karo(yani pahle Auzubillahi-Minash-shaitanirrajeem padh liya karo)uska zor us par nahi chalta jo imaan rakhte hain aur apne RAB par hi bharosa rakhte hain, uska zor to unhi par hai jo usko dost banate hain aur Allah ke saath sharik banate hain.
Al~Quran,Surah An-Nahal(16),Aayat-98-100
-----------------------
★सो जब तुम क़ुरान पढ़ने लगो तो शैतान मरदूद से अल्लाह की पनाह में आ जाया करो (यानी पहले आऊज़ूबिल्लाही -मिनअश-शैतानिर्रजिम पढ़ लिया करो),उसका ज़ोर उस पर नही चलता जो ईमान रखते हैं और अपने ऱब पर ही भरोसा रखते हैं,उसका ज़ोर तो उन्ही पर है जो उसको दोस्त बनाते हैं और अल्लाह के साथ शरीक बनाते हैं
अल~क़ुरान,सुराह अन-नहल(16),आयत-98-100
-----------------------
سو جب تو قرآن پڑھنے لگے تو شیطان مردود سے الله کی پناہ لے-اس کا زور ان پر نہیں چلتا جو ایمان رکھتے ہیں اور اپنے رب پر بھروسہ کرتے ہیں-اس کا زور تو انہیں پر ہے جو اسے دوست بناتے ہیں اور جو الله کے ساتھ شریک مانتے ہیں-
القرآن،سورة النحل(١٦)،آیت-٩٨-١٠٠
-----------------------
★So when you want to recite the Qur'an, seek refuge with Allah from Shaitan (Satan), the cursed one.(by saying Auzubillahi Minash-shaitanirrajeem)Verily! He has no power over those who believe and put their trust only in their Lord (Allah).His power is only over those who obey and follow him (Satan), and those who join partners with Him.
Al~Quran,Surah An-Nahal(16),Aayat-98-100
-----------------------------------------------------------

Sunday, 28 January 2018

Eh logon tumhare RAB ki taraf se naseehat aur dilon ki beemariyo ki shifa aur momeeno ke liye hidayat aur rahmat aa pahunchi hai

Bismillahhirrahmanirrahim
Eh logon tumhare RAB ki taraf se naseehat aur dilon ki beemariyo ki shifa aur momeeno ke liye hidayat aur rahmat aa pahunchi hai
-----------------------
★Eh logon tumhare RAB ki taraf se naseehat aur dilon ki beemariyo ki shifa aur momeeno ke liye hidayat aur rahmat aa pahunchi hai kah do (Quran) Allah ke fazal aur uski rahmat se hai , to us par unhe khush hona chahiye ye un cheezo se behtar hai jo wo jama karte hain.
Al~Qura,Surah Yunus(10),Aayat-57-58
-----------------------
★एह लोगों तुम्हारे रब की तरफ से नसीहत और दिलों की बीमारियों की शिफ़ा और मोमीनों के लिए हिदायत और रहमत आ पहुँची है ,कह दो (क़ुरान) अल्लाह के फ़ज़ल और उसकी रहमत से है , तो उस पर उन्हे खुश होना चाहिए ये उन चीजों से बेहतर है जो वो जमा करते हैं
अल~क़ुरान,सुरह यूनुस(10),Aayat-57-58
-----------------------
اے لوگو تمہارے رب سے نصیحت اور دلوں کے روگ کی شفا تمہارے پاس آئی ہے اور ایمان داروں کے لیے ہدایت اور رحمت ہے کہہ دو قرآن الله کے فضل اور اس کی رحمت سے ہے سو اسی پر انہیں خوش ہونا چاہیئے یہ ان چیزوں سے بہتر ہے جو جمع کرتے ہیں-
القرآن،سورة يونس(١٠)،آیت-٥٧-٥٨
-----------------------
★O mankind ! There has come to you a good advice from your Lord (the Quran) and a healing for that (disease of ignorance, doubt, hypocrisy etc) which is in your breasts, - a guidance and a mercy for the believers. Say: In the Bounty of Allah, and in His Mercy therein let them rejoice.That is better than what (the wealth) they accumulate.
Al~Quran,Surah Yunus(10),Verse-57-58
-----------------------------------------------------------

Part 2 of 80 - Surat-ul-Faatiha(Tafseer)

Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 2 of 80 - Surat-ul-Faatiha
✦ Al-Quran (Tafseer Ibn-e-Kaseer)
-----------------------------
★Ibn Abbas Ise Isasul Quran Kehte They Yani Quran Ki Jad Ya Buniyad Aur Is Surat Ki Buniyat Ayat “Bismillah Irrehman Nirahim” Hai,
-Sufiyan Bin Ayiniya Farmate Hain: Is Ka Naam Waqya Hai,
-Yahhiya-Bin-Kaseer Kehte Hain Is Ka Naam Kafiya Bhi Hai Isliye Ke Ye Apne Alawa Sab Ki Kifayat Karti Hai Aur Dusri Surat Is Surat Kifayat Nahi Karti,
-Baaz Marsal Hadison Me Bhi Ye Mazmun Aaya Hai Ke Ummul Quran Badal Hai Iske Gair Ka Magar Iska Gair Iska Badal Nahi,• (1) Ise Suratul Salat Aur Suratul Kinz Bhi Kaha Gaya Hai,
-Zamehshari Ki Tafseel Kishaf Dekhiye, Ibn Abbas, Qitada, Abulaliya Farmate Hai Ke: “Ye Surat Makki Hai,.”
-Hazrat Abu Huraira Mujahid, Ata Bin Yasar Aur Zehri Farmate Hai: “Ye Surat Madni Hai Aur Ye Bi Ek Qaul Hai Ke Ye Surat Do Martaba Nazil Huyi Ek Martaba Makka Aur Ek Martaba Madine Me Lekin Pehla Qaul Hi Zyada Thik Hai Isliye Ki Dusri Ayat Me Hai. “Walakad Atainaka Sab’am Minal Masani”• (2) Yani Humne Tumhe Saba Misani Saat Ayatein Dohrai Jaane Wali Di Hai,
– Wallah-O-Alam, Abulast Samar Kandi Ka Ek Qaul Qartabi Ne Ye Bhi Naql Kiya Hai Ke Is Surat Ka Nisf Tou Makka Sharif Me Nazil Hua Aur Aakhiri Nisf Hissa Madina Sharif Me Nazil Hua Lekin Ye Qaul Bilkul Gareeb Hai,
– In Ayaton Ki Nisbat Ittefaq Hai Ke Saat Hai Lekin Umru Bin Abid Ne 8 Aur Husain Jafi Ne 6 Bhi Kaha Hai Aur Ye Dono Qaul Shaaz Hain,..
Bismillah Irrehman Nirahim Aur Mukhtalif Aqwal Aur Surah Fateha:
“Bismillah Irrehman Nirahim”(Al-Quran 1:1)
Ye Surat Ki Mustakil Ayat Hai Ya Nahi Isme Ikhtelaf Hai, Tamam Kufi Qari Aur Sahaba (Razi’Allahu Anhu) Aur Tabey Aur Taba’in (R.A.) Ki Ek Jamat Aur Pichhle Bahut Se Buzurg Tou Usey Surah Fateha Ke Awwal Ki Ek Puri Aur Mustakil Ayat Kehte Hain, Baaz Isey Iska Jaso Mante Hain Aur Baaz Sire Se Is Ayat Ko Is Ke Shuru Me Mante Hi Nahi, Jaise Ke Madine Sharif Ke Qariyon Aur Faqihon Ke Ye Teeno Qaul Hain, Iski Tafseel Inn Shaa Allah Aage Ayegi,..
– Is Surah Ke Kalimat 25 Hain Aur Haruf 113 Hain, Imam Bukhari Kitab Al-Tafseer Ke Shuru Me Sahih Bukhari Me Likhte Hain “Ummul Kitab Is Surah Ka Naam Isliye Hai Ki Quran Sharif Ki Kitabat Usi Se Shuru Hoti Hai • (3)Aur Namaz Ki Qirat Bhi Usi Se Shuru Hoti Hai”
– Ek Qaul Ye Bhi Hai Kyunki Tamam Quran Sharif Ke Mazameen Ajmali Taur Se Usi Me Hain, Isliye Is Ka Naam Ummul Kitab Hai, Arab Ki Adat Hai Ke Har Ek Jama Kaam Aur Kaam Ki Jad Ko Jiski Shakhein Aur Ajzah Usi Ke Tabey Hon Umm Kehte Hain,. Dekhiye Ummul Raas-Us-Jild Ko Kehte Hain Jo Dimag Ki Jama Hai Aur Lashkari Jhande Aur Nishan Ko Bhi Jis Ke Niche Log Jama Hote Hain,
-----------------------------------------------------------

• (1) Dar-Qutni
• (2) Al~Quran,Surat-ul-Hujurat
• (3) Sahih Bukhari
◆◆◆To be continued....... In sha Allah

Quran Tafseer Quiz-2

◆ Part 2 of 80 Tafseer(Fatiha) Quiz◆
Surah Fatiha me Kalimat aur Huroof ka sahih Joda(pair) bataiye ?
A) 22, 110
B) 23, 111
C) 24, 112
D) 25, 113
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
D is the correct answer
https://quran-hadith-only.blogspot.com/2018/01/bismillahhirrahmanirrahim-2-of-80-surat.html

Part 34 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 34 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★In elaaqon ke padaus mein rahne waale qabaail tazabzub ka shikaar the. Unhein aghraaz wa khuahishaat idhar se udhar, aur udhar se idhar phainkti rahti thin. Kabhi we Iraaqion ke hamnawaan ho jaate the aur kabhi shaamion ki haan mein haan milaate the.
Jo qabaail andaroon-e-Arab aabaad the un ke bhi jod dheele aur sheeraazah muntashir tha. Har taraf qabaaili jhagdon, nasli fasaadaat aur mazhabi ikhtilaafaat ki garanm baazaari thi, jis mein har qabeele ke afraad behar soorat apne apne qabeele ka saath dete the khuwaah weh haq par ho ya baatil par. Chunaanche un ka tarjumaan kehta hai:
"Mai bhi to qabeela ghaziyya hi ka ek fard hoon. Agar woh ghalat raah par chalega to mein bhi ghalat raah par chaloonga aur agar woh saheeh raah par chlega to mein bhi saheeh raah par chaloonga."
Andaroon-e-Arab koi baadshaah na tha jo unki aawaaz ko quwwat pahunchaataa aur na koi marja hi thaa jis ki taraf mushkilaat wa shadaa'id mein rujoo' kiya jaataa aur jis par waqt padne par ae’timaad kiya jaataa.
★Han Hijaaz ki hukoomat ko qadar-o-ehtiraam ki nigaah se  yaqeenan dekhaa jaataa tha aur use markaz-e-deen ka qaid-o-paasbaan bhi tasawwur kiya jaataa tha. Yeh hukoomat dar haqeeqat ek tarah ki dunyaavi qiyaadat aur deeni peshwaai ka ma'joon murakkab thi. Use ahl-e-Arab par deeni peshwaai ke naam se baalaadasti haasil thi aur Haram aur atraaf-e-Haram par us ki ba-qaaidah hukumraani thi. Wahi zaa'ireen-e-Baitullah ki zarooriyaat ka intizaam aur sharee'at-e-Ibrahimi ke ehkaam ka nifaaz karti thi aur uske paas parliamaani idaaron jaise idaare aur tashkeelaat bhi thin. Lekin yeh hukoomat itni kamzoor thi ke andaroon-e-Arab ki zimmedaarion ka bojh utthaane ki taaqat na rakhti thi jaisaa ke habshion ke hamle ke mauqe par zaahir hua.
-----------------------------------------------------------
ENGLISH TRANSLATION
-----------------------------------------------------------
★The tribes living near these
regions were fluctuating between Syria and Iraq, whereas those living inside Arabia were disunited and
governed by tribal conflicts and racial and religious disputes.
They had neither a king to sustain their independence nor a supporter to seek advice from, or depend
upon, in hardships.
★The rulers of Hijaz, however, were greatly esteemed and respected by the Arabs, and were considered
as rulers and servants of the religious centre. Rulership of Hijaz was, in fact, a mixture of secular and
official precedence as well as religious leadership. They ruled among the Arabs in the name of religious
leadership and always monopolized the custodianship of the Holy Sanctuary and its neighbourhood.
They looked after the interests of Al-Ka‘bah visitors and were in charge of putting Abraham’s code into
effect. They even had such offices and departments like those of the parliaments of today. However,
they were too weak to carry the heavy burden, as this evidently came to light during the Abyssinian
(Ethiopian) invasion.
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah

Seerat Quiz-34

⏰ Part 34 of 1800 Seerat Quiz ⏰
Lekin yeh hukoomat(Hijaz ki) itni kamzoor thi ke andaroon-e-Arab ki zimmedaarion ka bojh utthaane ki taaqat na rakhti thi jaisaa ke (----------) ke hamle ke mauqe par zaahir hua.
A) Shaamio
B) Habshion
C) Iraniyo
D) Iraqio
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
B is the correct answer

Wednesday, 24 January 2018

Part 33 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 33 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Sardaaron ke kuchh makhsoos aur imtiyaazi huqooq bhi  hua karte the jinhein ek shaair ne yuon bayaan kiya hai
"Hamaare darmiyaan tumhaare liye maal-e-ghaneemat ka chauthaai hai aur muntakhab maal hai aur woh maal hai jis ka tum faisla kar do aur jo sar-e-raah haath aa jae aur jo taqseem se bach rahe."
Mirbaa: Maal-e-ghaneemat ka chauthaai hissaa.
Safiyun: Woh maal jise taqseem se pehle hi sardaar apne liye muntakhab kar le.
Nasheetatun: Woh maal jo asal qaum tak pahoonchne se pehle raaste hi mein sardaar ke haath lag jaae.
Fuzool:  Woh maal jo taqseem ke baad bach rahe aur ghaazion ki tadaad par baraabar taqseem na ho. Masalan taqseem se bache hue oont. ghode waghairah. In sab aqsaam ke maal sardaar-e-qabeele ka haq hua karte the.
★ Siyaasi Haalat:
Jazeeratul-Arab ki hukoomaton aur hukumraanon ka zikr ho chuka. Bejaa na hoga ki ab un ke kisi qadar siyaasi haalaat bhi zikr kar diye jaein.
Jazeeratul-Arab ke woh teenon sarhadi elaaqe jo ghair mamaalik ke paraus mein parte the un ki siyaasi haalat sakht iztiraab wa intishaar aur intihaai zawaal wa inhitaat ka shikaar thi. Insaan, maalik aur ghulaam ya haakim aur mehkoom ke do tabqon mein bataa hua tha. Saare fawaaid sarbaraahon - aur khusoosan ghair mulki sarbaraahon - ko haasil the aur saaraa bojh ghulaamon ke sar thaa. Ise ziyaadah w'aazeh alfaaz mein yuon kahaa jaa saktaa hei ke ri'aayaa darhaqeeqat ek kheti thi jo hukoomat ke liye mahaasil aur aamdam faraaham karti thi aur hukoomatein ise lazzaton shahwaton, aishraani aur zulm-o-jaur ke liye iste'maal karti thin. Aur un par har taraf se zulm ki baarish ho rahi thi. Magar woh harf-e-shikaayat zabaan par na laa sakte the. Balki zaroori tha ke tarah-tarah ki zillat-o-ruswaai aur zulm-o-cheeradasti bardaasht karein aur zabaan band rakhein, kiyuonki jabr wa istibdaad ki hukumraani thi aur insaani huqooq naam ki kisi cheez ka kahin koi wujood na tha.
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah

Seerat Quiz-33

⏰ Part 33 of  1800 Seerat Quiz ⏰
Inmey se kaun sa option sahi hai ?
A) Mirbaa: Maal-e-ghaneemat ka chauthaai hissaa.
B) Safiyun: Woh maal jo asal qaum tak pahoonchne se pehle raaste hi mein sardaar ke haath lag jaae.
C) Nasheetatun: Woh maal jise taqseem se pehle hi sardaar apne liye muntakhab kar le.
D) Fuzool: Wo maal Jo ghulamo pe kharch karne ke baad bach jata tha
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
A is the correct answer

Tuesday, 23 January 2018

Musalmano ki jamaat ka saath chorh de aur phir wo mar jaye to uski maut jahiliyat ki maut hogi

Bismillahhirrahmanirrahim
Musalmano ki jamaat ka saath chorh de aur phir wo mar jaye to uski maut jahiliyat ki maut hogi
-----------------------
★Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jo shaksh itaa'at se bahar ho jaye aur (musalmano ki) jamaat ka saath chorh de aur phir wo mar jaye to uski maut jahiliyat ki maut hogi.
Sahih Muslim,Jild-5,Hadith-4786
-----------------------
★अबु हुरैरा रदि अल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूल अल्लाह सल-अल्ल्लाहु अलैहि वसलम ने फरमाया जो सख्स इताअत से बाहर हो जाए और (मुसलमानों) की जमात का साथ छोड़ दे और फिर वो मर जाए तो उसकी मौत जाहिलियत की मौत होगी
सही मुस्लिम,जिल्द-5,हदिस-4786
-----------------------
ابوہریرہ رضی ‌اللہ ‌عنہ سے روایت ہے رسول اﷲؐ نے فرمایا جو اطاعت سے نکل گیا اور جماعت سے علیحدہ ہوگیا تو وہ جاہلیت کی موت مرا- صحيح مسلم،جلد-٥،حديث-٤٧٨٦
-----------------------
★It has been narrated on the authority of Abu Huraira that the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said:One who defected from obedience and separated from the main body of the Muslims - if he died in that state-would die the death of one belonging to the days of Jahiliyya.
Sahih Muslim,Book-20,Hadith-4557
-----------------------------------------------------------

Islamic Quiz-140

⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Inmey se kiski maut jahiliyat ki Maut hogi ?
A) Kodh(leprosy) se Marne wale ki
B) Dabb ke Marne wale ki
C) Jung me marne wale ki
D) Musalmano ki jamat chorh dene wale ki
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
D is the correct answer

Jo (musalmano ki) jamaat ko chodh de aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki ummat mein foot (division) daale to usko qatl kar do

Bismillahhirrahmanirrahim
Jo (musalmano ki) jamaat ko chodh de aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki ummat mein foot (division) daale to usko qatl kar do
-----------------------
★Arfajah bin Shuraih Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mere baad fitney aur fasad ka zamana aaayega , to aise shaksh ko dekho jo (musalmano ki) jamaat ko chodh de aur Muhammad SallallahuAlaihi Wasallam ki ummat mein foot (division) daale to usko qatl kar do kyunki Allah ka haath (yani madad) jamaat par hai aur Shaitan uske saath ho jata hai jo jamaat se alag ho jata hai , aur usko hankta rahta hai.
Sunan Nasaii,Jild-3,322-Sahih
-----------------------
★अरफ़ज़ा बिन शुरैह रदि अल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूल अल्लाह सल अल्लाहु अलैहि वसलम ने फरमाया मेरे बाद फ़ितने और फसाद का ज़माना आएगा , तो ऐसे सख्स को देखो जो (मुसलमानों की) जमात को छोड़ दे औऱ मुहम्मद सल-अल्लाहु अलैहि वसलम की उम्मत में फुट डाले तो उसको क़त्ल कर डालो क्योंकि अल्लाह का हाथ(यानी मदद) जमात पर है और शैतान उसके साथ हो जाता है जो जमात से अलग हो जाता है, और उसको हाँकता रहता है
सुनन नसाई,जिल्द-3,322-सही
-----------------------
عرفجہ بن شریح اشجعی رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ میں نے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کو منبر پر لوگوں کو خطبہ دیتے دیکھا، آپ نے فرمایا:  میرے بعد فتنہ و فساد ہو گا، تو تم جسے دیکھو کہ وہ جماعت سے الگ ہو گیا ہے یا امت محمدیہ میں افتراق و اختلاف ڈالنا چاہتا ہے، تو خواہ وہ کوئی بھی ہو اسے قتل کر دو، اس لیے کہ اللہ تعالیٰ کا ہاتھ جماعت پر ہے اور جو جماعت سے الگ ہوا اس کے ساتھ شیطان دوڑتا ہے ۔
سنن النسائي،جلد-٣،حديث-٣٢٢-صحيح
-----------------------
★It was narrated that Arfajah bin Shuraih Radi Allahu Anhu he said: "I saw the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam on the Minbar addressing the people. He Sallallahu Alaihi Wasallam said: After me there will be many calamities and much evil behavior. Whoever you see splitting away from the Jamaah (The main body) or trying to create division among the Ummah of Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam , then kill him, for the Hand (support) of ALLAh is with the Jamaah, and the Shaitan is with the one who splits away from the Ummah, running with him.
Sunan Nasaii,Book-37,4025-Sahih
-----------------------------------------------------------

Monday, 22 January 2018

Meri ummat ke 72 firqe honge, sab ke sab dozakhi honge siwaye ek ke

Bismillahhirrahmanirrahim
Meri ummat ke 72 firqe honge, sab ke sab dozakhi honge siwaye ek ke
-----------------------
★Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bani israeel ke 71 firqe huye aur meri ummat ke 72 firqe honge, sab ke sab dozakhi honge siwaye ek ke aur wo Al-Jamaat hai.
Sunan Ibn Majah,Jild-3,874-Sahih
-----------------------
★अनस बिन मलिक रदि अल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूल अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसलम ने फरमाया बनी इसराईल के 71 फिरके हुए और मेरी उम्मत के 72 फिरके होंगे , सब के सब दोज़खी होंगे सिवाय एक क़े औऱ वो अल जमात है
सुनन इब्न माजा,जिल्द-3,हदिस-874-सही
-----------------------
انس بن مالک رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: بنی اسرائیل اکہتر فرقوں میں بٹ گئے، اور میری امت بہتر فرقوں میں بٹ جائے گی، سوائے ایک کے سب جہنمی ہوں گے، اور وہ «الجماعة» ہے، (وہ جماعت جو میری اور میرے صحابہ کی روش اور طریقے پر ہو)-
سنن ابن ماجع،جلد-٣،حديث-٨٧٤-صحيح
-----------------------
★It was narrated from Anas bin Malik that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: The Children of Israel split into seventy-one sects, and my nation will split into seventy-two, all of which will be in Hell apart from one, which is Al Jamaat (The main body).
Sunan ibn Majah,Book-36,3993-Sahih
-----------------------------------------------------------

https://quran-hadith-only.blogspot.com/2018/01/islamic-quiz-137_22.html

Islamic Quiz-139

⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bani israeel ke (---1⃣---) firqe huye aur meri ummat ke (---2⃣---) firqe honge, sab ke sab dozakhi honge siwaye ek ke aur wo Al-Jamaat hai ?
A) (1) 72 (2) 73
B) (1) 72 (2) 71
C) (1) 71 (2) 72
D) (1) 73 (2) 74
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
C is the correct answer

Usee (ALLAH) ki taraf ruju kiye raho aur us se darte raho

Bismillahhirrahmanirrahim
Usee (ALLAH) ki taraf ruju kiye raho aur us se darte raho
-----------------------
★Usee (Allah) ki taraf ruju kiye raho aur us se darte raho aur mushriko mein se na hona , (aur na ) un logo mein jinhone apne deen ko tukde tukde kar diya aur (khud) firqe firqe ho gaye, har firqa usee se khush hai jo unke pass hai.
Al~Quran,Surah Ar-Room(30),Aayat-31-32
-----------------------
★उसी (अल्लाह) के तरफ रुजू किये रहो और उस से डरते रहो और मुशरिकों में से ना होना ,(और ना ) उन लोगो में जिन्होंने अपने दीन को टुकड़े टुकड़े कर दिया और (खुद) फिरके फिरके हो गए , हर फ़िरक़ा उसी से खुश है जो उनके पास है
अल~क़ुरान,सूरह अर रूम(30),आयत-31-32
-----------------------
اسی کی طرف رجوع کیے رہو اور اس سے ڈرو اور نماز قائم کرو اور مشرکوں میں سے نہ ہوجاؤ-جنہوں نے اپنے دین کو ٹکڑے ٹکڑے کر دیا اور کئی فرقے ہو گئے سب فرقے اسی سے خوش ہیں جو ان کے پا س ہے-
القرآن،سورة الروم(٣٠)،آیت-٣١-٣٢
-----------------------
★(And remain always) turning in repentance to Him (only), and be afraid and dutiful to Him; and perform As-Salat (Iqamat-as-Salat) and be not of Al-Mushrikun (and be not of) Of those who split up their religion and became sects, each sect rejoicing in that which is with it.
Al~Quran,Surah Ar-Room (30),Verse-31-32
-----------------------------------------------------------

Sunday, 21 January 2018

Musalmano ki jamaat aur unke Imam ke saath rahna

Bismillahhirrahmanirrahim
Musalmano ki jamaat aur unke Imam ke saath rahna
-----------------------
★Huzaifah bin Yaman Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kuch log jahannam ke darwaze ki taraf bulane wale honge jo un ki baat manega usko dozakh mein daal denge maine arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe unki pahchan bata dijiye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo hamare hi jaise honge aur hamari hi zuban (Arbi) bolenge maine kaha ki agar maine wo zamana paya to Aap mujhe kya hukm dete hain farmaya ki Musalmano ki jamaat aur unke Imam ke saath rahna maine kaha ki agar Musalmano ki jamaat na ho aur unka koi Imam na ho? farmaya ki phir un tamam logon se alag ho jana chahe tumhe jungal mein jakar Darakhton ki jade (trunk of a tree ) chabani padhe yahan tak ki is halat mein tumahari maut aa jaye.
Sunan Ibn Majah,Jild-3,860-Sahih
-----------------------
★हुजैफा बिन यमान रदि अल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूल अल्लाह ने फरमाया कुछ लोग जहन्नम के दरवाजे के तरफ बुलाने वाले होंगे जो उनकी बात मानेगा , उसको दोज़ख में डाल देंगे मैने अर्ज़ किया या रसूल अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसलम मुझे उनकी पहचान बता दिजीए आप सल-अल्लाहु अलैहि वसलम ने फरमाया वो हमारे ही जैसे होंगे और हमारी ही जुबान (अरबी) बोलेंगे मैंने कहा कि अगर मैंने वो ज़माना पाया तो आप मुझे क्या हुक्म देते है फ़रमाया की मुसलमानों की जमात और उनके इमाम के साथ रहना मैंने कहा कि अगर मुसलमानों की जमात ना हो और उनका कोई इमाम ना हो ? फ़रमाया की फ़िर उन तमाम लोगो से अलग हो जाना चाहे तुम्हे जंगल में जाकर दरख्तों की झाड़े चबानी पड़े यहॉ तक की इस हालत में तुम्हारी मौत आ जाए
सुनन इब्न माजा, जिल्द-3,860-सही
-----------------------
حذیفہ بن یمان رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جہنم کے دروازوں کی طرف بلانے والے پیدا ہوں گے، جو ان کے بلاوے پر ادھر جائے گا وہ انہیں جہنم میں ڈال دیں گے ، میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہم سے ان کے کچھ اوصاف بتائیے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: وہ لوگ ہم ہی میں سے ہوں گے، ہماری زبان بولیں گے ، میں نے عرض کیا: اگر یہ وقت آئے تو آپ مجھے کیا حکم فرماتے ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم  مسلمانوں کی جماعت اور امام کو لازم پکڑو، اور اگر اس وقت کوئی جماعت اور امام نہ ہو تو ان تمام فرقوں سے علیحدگی اختیار کرو، اگرچہ تمہیں کسی درخت کی جڑ چبانی پڑے حتیٰ کہ تمہیں اسی حالت میں موت آ جائے-
سنن ابن ماجع،جلد-٣،حديث-٨٥٠-صحيح
-----------------------
★It was narrated from Hudhaifah bin Yaman that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said There will be callers at the gates of Hell, whoever responds to them they throw them into it. I said: O Messenger of Allah, describe them to us. He said: They will be from our people, speaking our language. (Arabic) I said: What do you command me to do, if I live to see that? He said: hold to the main body of the Muslims and their imam. If there is no such body and no imam , then withdraw from all their groups, even if you bite onto the trunk of a tree until death finds you in that state.
Sunan ibn Majah,Book-36,3979-Sahih
-----------------------------------------------------------

https://quran-hadith-only.blogspot.com/2020/03/islamic-quiz-320.html

Quran Tafseer Quiz-1

◆ Part 1 of 80 Tafseer(Fatiha) Quiz◆
Inmey se kaun sa naam Surah Fatiha ka hai ?
A) Surat-ul-Salat
B) Surat-ul-Hamd
C) Surat-ul-Ruqqaya
D) Upar ke sab sahi hai
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
D is The Correct Answer

Part 1 of 80 - Surat-ul-Faatiha(Tafseer)

Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 1 of 80 - Surat-ul-Faatiha
✦ Al-Quran (Tafseer Ibn-e-Kaseer)
-----------------------------
★ Is Surah Ka Naam Surah Fateha Hai, Fateha Kehte Hain Shuru Karne Wali Ko, Kyunki Quran Kareem Me Sab Se Pehle Yahi Surat Likhi Gayi Hai, Isliye Ise Surah Fateha Kehte Hain Aur Isliye Bhi Ki Namazon Me Qir’at Bhi Isi Se Shuru Hoti Hai,
– Iska Naam Ummul Kitab Bhi Hai, Jamhur Yahi Kehte Hain, Hasan Aur Ibn Sareen Iske Kayal Nahi, Wo Kehte Hai Ke Lohe Mehfuz Ka Naam Ummul Kitab Hai, Hasan Ka Khayal Hai Ki Muhaqqam Ayaton Ko Ummul Kitab Kehte Hain, Tirmizi Ki Ek Sahih Hadis Me Hai Ke Rasul’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“Alhamdullillah Rabil Alameen” Puri Surat Tak Yahi Surat Ummul Quran Hai Aur Ummul Kitab Hai Aur Sab’a Misani Hai Aur Quran Azeem Hai.• (1)Is Surat Ka Naam Suratul Hamd Aur Suratul Salat bhi Hai,..
★ Aahazrat (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain Ke: Allah Ta’ala Ne Farmaya Hai:
“Maine Salat (Yani Surah Fateha) Ko Apne Aur Apne Bande Ke Darmiyan Nisf Nisf Taqseem Kar Diya, Jab Banda Kehta Hai “Alhamdullillah Rabil Almeen” Tou Allah Ta’ala Fermata Hai: “Mere Bande Ne Meri Tarif Ki,”
Puri Hadis Tak, • (2) Is Hadis Se Malum Hua Ke Surah Fateha Ka Naam Salat Bhi Hai Isliye Ki Is Surat Ka Namaz Me Padhna Shart Hai,
– Is Surah Ka Naam Suratul Shafa bhi Hai,
Darmi Me Hazrat Abu Sayeed Se Marfua Riwayat Hai Ke Surah Fateha Har Zeher Ki Shifa Hai Aur Is Ka Naam Suratul Ruqqayya Bhi Hai.• (3)
Hazrat Abu Sayeed (RaziAllahu Anhu) Ne Jab Sanp Ke Kate Huye Shakhs Par Is Surat Ko Padh Kar Dam Kiya, Wo Achha Ho Gaya Tab Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam)Ne Un Se Farmaya:
“Tumhe Kaise Malum Ho Gaya Ke Ye Ruqqayya Hai, Yaani Padh Kar Phunkne Ki Surat Hai ?• (4)
-----------------------------------------------------------
• (1) Sahih Bukhari
• (2) Sahih Muslim
• (3) Sahih Bashwahid
• (4) Sahih Bukhari, Sahih Muslim
◆◆◆To be continued....... In sha Allah

Wednesday, 17 January 2018

Seerat Quiz-32

⏰ Part 32 of 1800 Seerat Quiz ⏰
Sahi jawab bataiye ?
A) Jo qabaail llerah ke ird-gird aabaad the unhein hukoomat-e-Heerah ke taabe maanaa gayaa.
B) Jo qabaail Baadia-tus-Shaam mein sukoonat ikhtiyaar hue unhein Ghassani hukumraanon ke taabe maana gayaa.
C) Andaroon-e-Arab aabaad qabaail bahar taur aazaad the.
D) Upar ke sab sahi hai.
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
D is the Correct Answer

Part 32 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 32 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
Baqia Arab Sardaarian:
Ham pichhle safhaat mein Qahtani aur Adnani qabaail ke tark-e-watan ka zikr kar chuke hain aur batlaa chuke hain ke poora mulk-e-Arab in qabaail ke darmiyaan taqseem ho gayaa tha. Us ke ba'd un ki imaarton aur sardaarion ka naqshaa kuchh yuon thaa ke jo qabaail llerah ke ird-gird aabaad the unhein hukoomat-e-Heerah ke taabe maanaa gayaa. Aur jin qabaail ne Baadia-tus-Shaam mein sukoonat ikhtiyaar ki thi unhein Ghassani hukumraanon ke taabe qaraar diyaa gayaa.  magar ye ma-tahati sirf naam ki thi, amalan na thi. In do maqaamaat ko chhod kar andaroon-e-Arab aabaad qabaail bahar taur aazaad the.
In qabaail mein sardaari nizaam raaij tha. Qabeele khud apnaa sardaar muqarrar karte the. Aur in sardaaron ke liye unkaa qabeela ek mukhtasar si hukoomat hua kartaa thaa. Siyaasi wujood-o-tehaffuz ki buniyaad, qabaaili wahdat par mabni asbiyyat aur apni sarzameen ki hifaazat-o-difaa ke mushtaraka mafaadaat the.
★Qabaaili sardaaron ka darja apni qaum mein baadshaahon jaisa tha, qabeela sulah-o-jang mein baharhaal apne sardaar ke faislo ke Thabe hota tha aur kisi haal mein us se alag-thalag nahin rah sakta thaa. Sardaar ko wahi mutlaqul-anaani aur istibdaad haasil tha jo kisi Dictator ko haasil hua kartaa hai hattaa ke ba’z sardaaron ka yeh haal tha ke agar weh bigad jaate to hazaaron talwaarein yeh poochhein baghair be niyaam ho jaati ke sardaar ke ghusse ka sabab kya hai. Taaham choonke ek hi kunbe ke checheire bhaaion mein sardaari ke liye kashaakash bhi hua karti thi. Is liye is ka taqaaza  tha ke sardaar apne qabaaili awaam ke sath rawaadaari barte, khoob maal kharch kare, mehmaan nawaazi mein pesh-pesh rahe. karam-o-burdbaari se kaam le, shuja'at ka amali muzaaharaa kare aur ghairatmandaana umoor ki taraf se difaa' kare taaki logon ki nazar mein umooman, aur shua'raa ki nazar mein khusoosan khoobi wa kamaalaat ka jaame ban jaae (kyu ke shua'raa us daur mein qabeele kl zubaan hua karte the) aur is tarah sardaar apne madd-e-muqaabil hazaraat se buland-o-baalaa darja haasil kar le.
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah

Agar tum mein se koi mujhe salam karta hai to main uske salam ka jawab deta hu

Bismillahhirrahmanirrahim

Agar tum mein se koi mujhe salamkarta hai to main uske salam ka jawab deta hu
-----------------------

Allahumma Salli Wa Sallim Ala Muhammad
----------
http://sunnah.com/abudawud/11/321

★Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tum mein se koi mujhe salam karta hai to Allah Subhanhu meri rooh ko wapas lauta deta hai aur main uskey salam ka jawab deta hu.
Sunan Abu Dawud,Jild-2,273-Hasan
-----------------------

★अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अगर तुम में से कोई मुझे सलाम करता है तो अल्लाह सुबहानहु मेरी रूह को वापस लौटा देता है और मैं उसके सलाम का जवाब देता हूँ
सुनन अबू दाऊद,जिल्द-2,273-हसन
-----------------------

ابوہریرہ رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : ” مجھ پر جب بھی کوئی سلام بھیجتا ہے تو اللہ تعالیٰ میری روح مجھے لوٹا دیتا ہے یہاں تک کہ میں اس کے سلام کا جواب دیتا ہوں “ ۔
سنن ابو داوود،جلد-٢، حديث-٢٧٣-حسن
-----------------------

★Narrated Abu Hurairah Radi Allahu Anhu :The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: If any one of you greets me, Allah returns my soul to me and I respond to the greeting.
Sunan Abu Dawud,Book-10,2036-Hasan
-----------------------------------------------------------

Agar tum mein se koi mujhe salam karta hai to main uske salam ka jawab deta hu

Bismillahhirrahmanirrahim
Agar tum mein se koi mujhe salam karta hai to main uske salam ka jawab deta hu
-----------------------
Allahumma Salli Wa Sallim Ala Muhammad
----------
http://sunnah.com/abudawud/11/321
★Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tum mein se koi mujhe salam karta hai to Allah Subhanhu meri rooh ko wapas lauta deta hai aur main uskey salam ka jawab deta hu.
Sunan Abu Dawud,Jild-2,273-Hasan
-----------------------
★अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अगर तुम में से कोई मुझे सलाम करता है तो अल्लाह सुबहानहु मेरी रूह को वापस लौटा देता है और मैं उसके सलाम का जवाब देता हूँ
सुनन अबू दाऊद,जिल्द-2,273-हसन
-----------------------
ابوہریرہ رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : ” مجھ پر جب بھی کوئی سلام بھیجتا ہے تو اللہ تعالیٰ میری روح مجھے لوٹا دیتا ہے یہاں تک کہ میں اس کے سلام کا جواب دیتا ہوں “ ۔
سنن ابو داوود،جلد-٢، حديث-٢٧٣-حسن
-----------------------
★Narrated Abu Hurairah Radi Allahu Anhu :The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: If any one of you greets me, Allah returns my soul to me and I respond to the greeting.
Sunan Abu Dawud,Book-10,2036-Hasan
-----------------------------------------------------------

Sunday, 14 January 2018

Part 31 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 31 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Un ke elaawa kuchh aur manaasib bhi the jinhein Quraish ne baaham taqseem kar rakhaa thaa. In manaasib aur intizaamaat ke zareeye Quraish ne ek chhoti si hukoomat - balki hukoomat numaa intizaamiya - qaayam kar rakhi thi jis ke sarkaari idaare aur tashkeelaat kuchh isi dhang ki the.
Jaisi aaj kal Parliament Majlisein aur idaare hua karte ham.
In manaasib ka khaka hasb-e-zail hai:
1) Isaar: Yaani faal giri aur qismat daryaaft karne ke liye buton ke paas jo teer rakhe rahte the un ki tauliyat, Yeh mansab Banu Jamah ko haasil tha.
2) Maaliyaat ka nazm: Yaani buton ke taqarrub ke liye jo nazraane aur qurbaaniaan pesh ki jaati thin un ka intizaam karna, neez jhagde aur maqdamaat ka faislaa karna, Yeh kaam Banu Sahm ko sonpaa gayaa thaa.
3) Shoora: Yeh ea'zaaz Banu Asad ko haasil tha.
4) Ashnaaq: Yaani diyat aur jurmaanon ka nazm. Is mansab par Banu Tayim faaiz the.
5) Uqaab: Yaani qaumi parcham ki alambardaari. Yeh Banu Umaiyah ka kaam tha.
6) Quba: Yaani fauji camp ka intizaam aur shehsawaaron ki qiyaadat. Yeh Banu Makhzum ke hisse mein aayaa tha.
7) Sifaarat: Banu Adi ka mansab tha. • (26)
-----------------------------------------------------------
• (26)  Tareekh Ar-zul-Quran 2/104 , 105 , 106
To be continued....... In sha Allah

Seerat Quiz-31

⏰ Part 31 of 1800 Seerat Quiz ⏰
❗Sahi matching bataiye ?
A) Quba: Banu Adi ka mansab tha
B) Shoora: Yeh ea'zaaz Banu Asad ko haasil tha.
C) Uqaab: Yaani diyat aur jurmaanon ka nazm. Is mansab par Banu Tayim faaiz the.
D) Isaar: Yaani buton ke taqarrub ke liye jo nazraane aur qurbaaniaan pesh ki jaati thin un ka intizaam karnaa, neez jhagde aur maqdamaat ka faislaa karna, Yeh kaam Banu Sahm ko sonpaa gayaa thaa.
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
B is the correct answer

RasoolAllah ﷺ par kitna durud padhna chahiye ?

Bismillahhirrahmanirrahim
RasoolAllah ﷺ par kitna durud padhna chahiye ?
-----------------------
اللَّهُـمّ صلى على سيدنا مُحمَّــد وال مُحمَّــد
Allahumma Salli Ala Sayyidna Muhammed Wa Aali Muhammed
-----------
https://islamqa.info/en/128455
★Ubai Ibn kaab Radi Allahu anhu se rivayat kiya kiJab do tihayee raat guzar jati to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam uth te aur farmate , Eh logo Allah ko yaad karo, Allah ko yaad karo soor ka waqt aa gaya hai aur uske baad dusri martaba bhi phunka jayega aur maut bhi apni sakhtiyo ke saath aa rahi hai,maut bhi apni sakhtiyo ke saath aa rahi hai،Ubai Ibn kaab Radi Allahu anhu kahte hain ki maine arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam main aap par bahut zyada durud padha karta hu , aap mujhe bata dijiye ki main durud padhne ke liye kitna waqt muqarrar kar lu Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jitna tum chaho ,Maine arz kiya ek chothayee (1/4) ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jitna tum chaho magar is se zyada padhoge to tumhare haq mein behtar hoga,Maine arz kiya aadha waqt (1/2) ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jitna tum chaho, magar is se zyada padhoge to tumhare haq mein behtar hoga,Maine arz kiya do tihayee (2/3) ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jitna tum chaho, magar is se zyada padhoge to tumhare haq mein behtar hoga,Maine Arz kiya to phir main har waqt aap par durud padha karunga to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir to ye durud tumhare sare gamo ko dur karne ke liye kaafi hoga aur iski wajah se tumhare gunah bakhsh diye jayenge.
Jamia Tirmizi,Jild-2,347-Hasan
-----------------------
★उबे इब्न काब रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत किया की जब दो तिहाई रात गुज़र जाती तो रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैहीवसल्लम उठते और फरमाते , एह लोगों अल्लाह को याद करो, अल्लाह को याद करो सूर फूंकने का वक़्त आ गया है और उसके बाद दूसरी मर्तबा भी फूँका जाएगा और मौत भी अपनी सख्तियों के साथ आ रही है, मौत भी अपनी सख्तियों के साथ आ रही है،उबे इब्न काब रदी अल्लाहू अन्हु कहते हैं की मैने अर्ज़ किया या रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम मैं आप पर बहुत ज़्यादा दुरुद पढ़ा करता हूँ , आप मुझे बता दीजिये की मैं आप पर दुरुद पढ़ने के लिए कितना वक़्त मुक़र्रर करलूँ ,आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जितना तुम चाहो ,मैने अर्ज़ किया एक चौथाई (1/4) ? आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जितना तुम चाहो मगर इस से ज़्यादा पढ़ोगे तो तुम्हारे हक़ में बेहतर होगा,मैने अर्ज़ किया आधा (1/2) ? आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लमने फरमाया जितना तुम चाहो, मगर इस से ज़्यादा पढ़ोगे तो तुम्हारे हक़ में बेहतर होगा,मैने अर्ज़ किया दो तिहाई (2/3) ? आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जितना तुम चाहो, मगर इस से ज़्यादा पढ़ोगे तो तुम्हारे हक़ में बेहतर होगा,मैने अर्ज़ किया तो फिर हर वक़्त मैं आप पर दुरुद पढ़ा करूँ ?तो आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया फिर तो ये दुरुदतुम्हारे सारे ग़मों को दूर करने के लिए काफ़ी होगा और इसकी वजह से तुम्हारे गुनाह बख़्श दिए जाएँगे.
जामिया तिरमिज़ी,जिल्द 2,347-हसन
-----------------------
ابی بن کعاب رضی الله عنه سے روایت ہے کی جب دو تہائی رات گزر جاتی تو رسول اللہ ﷺ اٹھتے اور فرماتےلوگو! اللہ کو یاد کرو، اللہ کو یاد کرو،صور پھونکنے کا وقت آ گیا ہے اور اس کے بعد دوسری مرتبہ بھی صور پھونکا جائے گااور موت بھی اپنی سختیوں کے ساتھ آ رہی ہے موت بھی اپنی سختیوں کے ساتھ آ رہی ہے میں نے عرض کیایا رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم میں آپ پر بہت درود پڑھا کرتا ہوں سو اپنے وظیفے میں آپ پر درود پڑھنے کے لیے کتنا وقت مقرر کر لوں؟ آپ ﷺ نے فرمایا: جتنا تم چاہو،میں نے عرض کیا چوتھائی (1/4)؟ آپ ﷺ نے فرمایا: جتنا تم چاہو اور اگر اس سے زیادہ کر لو توتمہارے حق میں بہتر ہے“،میں نے عرض کیا: آدھا (1/2)؟ آپ ﷺ نے فرمایا: جتنا تم چاہو اور اگر اس سے زیادہ کر لو تو تمہارےحق میں بہتر ہے،میں نے عرض کیا دو تہائی (2/3) ؟ آپ ﷺ نے فرمایا: جتنا تم چاہو اور اگر اس سے زیادہ کر لو توتمہارے حق میں بہتر ہے،میں نے عرض کیا وظیفے میں ہر وقت آپ پر درود پڑھا کروں؟ ۔آپ ﷺ نے فرمایا: اب یہ درود تمہارے سب غموں کے لیے کافی ہو گا اور اس سے تمہارے گناہ بخش دیئے جائیں گے۔امام ترمذی کہتے ہیں: یہ حدیث حسن صحیح ہے۔
جامہ ترمیزی،جلد-٢،حديث-٣٤٧-حسن
-----------------------
★Ubayy Ibn kaab Radi Allahu Anhu said Ya RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! Indeed I say very much Salat (means durud) for you. How much time  should I fix to say salat for you?Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: As you wish.I said: one fourth (1/4) ?RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said:As you wish. But if you add more it would be better for you.I said: Then half (1/2) ?RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said:As you wish. And if you add more it would be better for you.I said: Then two-thirds (2/3)?Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said:As you wish, but if you add more it would be better for you.I said:  Should I say all the time Salat means durud for you ?RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said:Then your problems would be solved and your sins would be forgiven.
Jamia Tirmidhi,Book-11,2457–Hasan
-----------------------------------------------------------

Islamic Quiz-138

⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Rasool-Allah Sall-Allahu Alaihi Wasallam pe durud kitna padh saktey hai ?
A) 1/2th of the time
B) 2/3th of the time
C) 1/4th of the time
D) Upar ke sab sahi hai
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
D is the correct answer

Kahney laga boseeda (choora) haddiyon ko kaun zinda kar sakta hai

Bismillahhirrahmanirrahim
Kahney laga boseeda (choora) haddiyon ko kaun zinda kar sakta hai
-----------------------
★Kahney laga boseeda (choora) haddiyon ko kaun zinda kar sakta hai kah do ki unko wo zinda karega jisney inko pahli baar paida kiya tha aur wo sab kuch banana janta hai.
Al Quran,Surah Yaseen(36),Aayat-78-79
-----------------------
★कहने लगा बोसीदा (चूरा) हड्डियों को कौन ज़िंदा कर सकता है , कहदो की उनको वो ज़िंदा करेगा जिसने इनको पहली बार पैदा किया था और वो सबकुछ बनाना जानता है
अल~क़ुरान,सुरह अल-यासीन(36),आयत-78-79
-----------------------
کہنے لگا بوسیدہ ہڈیوں کو کون زندہ کرسکتا ہے-کہہ دو انہیں وہی زندہ کرے گا جس نے انہیں پہلی بار پیدا کیا تھا اور وہ سب کچھ بنانا جانتا ہے-
القرآن،سورة يس(٣٦)،آیت-٧٨-٧٩
-----------------------
★He says: "Who will give life to these bones after they are rotten and have become dust?" Say: He will give life to them Who created them for the first time! And He is the All-Knower of every creation!"
Al Quran Surah Yaseen(36),Verse-78-79
-----------------------------------------------------------

Kya Insaan Samajhta hai ki hum uski haddiyan jama nahi karengey ?

Bismillahhirrahmanirrahim
Kya Insaan Samajhta hai ki hum uski haddiyan jama nahi karengey ?
-----------------------
★Kya Insaan Samajhta hai ki hum uski haddiyan jama nahi karengey ?jarur karengey , hum to us par Qadir hain ki uski por por (fingertips) durast kar de.
Surah Al-Qiyamah(75),Aayat-3-4
-----------------------
★क्या इंसान समझता है कि हम उसकी हड्डिया जमा नही करेंगे ? जरूर करेंगे, हम तो उस पर कादिर है कि उसकी पोर पोर दुरुस्त कर दे
अल~क़ुरान,सुरह अल कियामा(75),आयत-3-4
-----------------------
کیا انسان سمجھتا ہے کہ ہم اس کی ہڈیاں جمع نہ کریں گے-ہاں ہم تو اس پر قادر ہیں کہ اس کی پور پور درست کر دیں-
القرآن،سورة القيامة(٧٥)،آیت-٣-٤
-----------------------
★Does man (a disbeliever) think that We shall not assemble his bones?Yes, We are Able to put together in perfect order the tips of his fingers.
Al~Quran,Surah Al-Qiyamah (75),Verse-3-4
-----------------------------------------------------------

Islamic Quiz-137

⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Kya Insaan Samajhta hai ki hum uski haddiyan jama nahi karengey ?jarur karengey , hum to us par Qadir hain ki uski por por (fingertips) durast kar de.
Ye Aayat kis surah se li gayi hai ?
A) Surah An-Naas
B) Surah Al-Maa'un
C) Surah Az-Zalzala
D) Surah Al-Qiyamah
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
D is the correct answer

Thursday, 11 January 2018

Part 30 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 30 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Yeh saare manaasib Qusai ko haasil the. Qusai ka pehla betaa 'Abd-ud-Dar tha. magar us ke bajae doosraa betaa 'Abd Manaf'. Qusai ki zindagi mein sharaf-o-siyaadat ke maqaam par pahoonch gaya tha. Is liye Qusai ne 'Abd-ud-Dar se kahaa ke yeh log agarche saraf-o-siyaadat mein tum par baazi lejaa chuke hain. magar mein tumhein in ke ham-pallaa kar ke rahoonga. Chunaanche Qusai ne apne saare manaasib aur ea’zaazaat ki wasiyyat 'Abd-ud-Dar ke liye kar di. yaani Darul-Nadwa  ki riyasat, Khaana-e-Ka'bah ki hijaabat. Liwa, Siqaayat aur Rifaadah sab kuchh 'Abd-ud-Dar ko de diyaa. Choonke kisi kaam mein Qusai ki mukhaalafat nahein ki jaati thi aur na us ki koi baat mustard ki jaati thi, balki us ka har iqdaam, us ki zindagi mein bhi aur us ki maut ke ba'd bhi waajib-ul-ittibaa' deen samjhaa jaataa thaa. Is liye us ki wafaat ke ba’d us ke beton ne kisi nizaa ke baghair us ke wasiyyat qaayam rakhi.
★Lekin jab 'Abd-e-Manaf ki wafaat ho gai to us ke beton ka in manaasib ke silsile mein apne checheire bhaaion yaani 'Abd Dar ki aulaad se jhagdaa hua. Is ke nateeje mein Quraish do giroh mein bat gai aur qareeb tha ki donon mein jang ho jaati magar phir unhon ne sulah ki aawaaz buland ki aur un manaasib ko baaham taqseem kar diya. Chunaanche Siqaayat aur Rifaadah ke manaasib Banu 'Abd Manaf ko diye gaye. Aur Dar-un-Nadwa ki sarbaraahi, liwa aur hijaabat Banu 'Abd Dar ke haath mein rahi. Phir Banu 'Abd Manaf ne apne haasil shudah manaasib ke liye qura' daalaa to qura’ Hashim bin 'Abd Manaf ke naam nikla. Lihaazaa Hashim hi ne apni zindagi bhar Siqaaya-o-Rifaadah ka intizaam kiya. Albattaa jab Hashim ka intiqaal ho gayaa to unke bhai Muttalib ne unki jaanasheeni ki, magar Muttalib ke ba'd un ke bhateeje Abdul Muttalib bin Hashim ne, jo Rasoolullah Sall-Allahu Alaihi Wasalam ke daadaa the, yeh mansab sambhaal liyaa aur un ke ba'd un ki aulaad un ki jaanasheen hui. Yahaan tak ke jab Islam ka daur aayaa to Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib is mansab par faaiz the.• (25)
-----------------------------------------------------------
.• (25) Ibn-e-Hisham 1/129-132 , 137 , 178 , 179
To be continued....... In sha Allah


Seerat Quiz-30

⏰ Part 30 of 1800 Seerat Quiz ⏰
Rasool-Allah Sall-Allahu Alaihi Wasallam ke Dada ka naam bataiye ?
A) Zuhrah Ibn Kilab
B) Abdul Muttalib Bin Hashim
C) Abd Manaf Ibn Zuhrah
D) Hashim Ibn Abd Manaf
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
B is the correct answer

ALLAH ke Raastey mein Ek Subah ya Shaam ka Safar sari duniya se badkar hai

Bismillahhirrahmanirrahim
ALLAH ke Raastey mein Ek Subah ya Shaam ka Safar sari duniya se badkar hai
-----------------------
★Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ke raastey mein ek subah ya ek sham safar karna duniya aur jo kuch usmein hai  , se badkar hai aur jannat mein tumhari ek Kaman ke barabar jagah ya ek kadam ke faasley ke barabar jagah duniya aur jo kuch  usmein hai se behtar hai aur agar jannat ki aurton mein se koi aurat rooye zameen ki taraf jhank kar dekh le to aasman se lekar zameen tak munawwar kar de aur uska dupatta (ya niqab) duniya aur jo kuch usmein hai se badkar hai.
Sahih bukhari,Jild-8,Hadith-6568
-----------------------
★अनस रदि अल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूल अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसलम ने फरमाया अल्लाह के रास्ते में एक सुबह या एक शाम सफर करना दुनिया और जो कुछ उसमे है , से बढक़र है और जन्नत में तुम्हारी एक कमान के बराबर जगह दुनिया औऱ जो कुछ उसमे है से बेहतर है और अगर जन्नत की औरतों में से कोई औरत रोए ज़मीन के तरफ झाँक कर देख ले तो आसमान से लेकर ज़मीन तक मुनव्वर कर दे औऱ उसका दुपट्टा (या निकाब) दुनिया औऱ जो कुछ उसमे है से बढकर है
सही बुखारी,जिल्द-8,हदिस-6568
-----------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اللہ کے راستے میں جہاد کے لیے ایک صبح یا ایک شام سفر کرنا دنیا اور جو کچھ اس میں ہے، سے بڑھ کر ہے اور جنت میں تمہاری ایک کمان کے برابر جگہ یا ایک قدم کے فاصلے کے برابر جگہ دنیا اور جو کچھ اس میں ہے، سے بہتر ہے اور اگر جنت کی عورتوں میں سے کوئی عورت روئے زمین کی طرف جھانک کر دیکھ لے تو آسمان سے لے کر زمین تک منور کر دے اور ان تمام کو خوشبو سے بھر دے اور اس کا دوپٹہ «دنيا وما فيها‏ ) ‏‏.‏» سے بڑھ کر ہے۔
صحیح بخاری جلد ۸-حديث-۶۵۶۸
-----------------------
★Narrated Anas radi allahu anhu The Prophet  sallallahu Alaihi wasallam "A forenoon journey or an after noon journey in Allah's Cause is better than the whole world and whatever is in it; and a place equal to an arrow bow of anyone of you, or a place equal to a foot in Paradise is better than the whole world and whatever is in it; and if one of the women of Paradise looked at the earth, she would fill the whole space between them (the earth and the heaven) with light, and would fill whatever is in between them, with perfume, and the veil of her face is better than the whole world and whatever is in it."
Sahih Bukhari,Book-76,Hadith-572
-----------------------------------------------------------

Islamic Quiz-136

⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Inmey se Jo sahi  ho uska selection kijye ?
A) Allah ke raastey mein ek subah ya ek sham safar karna duniya aur jo kuch usmein hai  , se badkar hai
B) Jannat mein ek kadam ke faasley ke barabar jagah duniya aur jo kuch  usmein hai se behtar hai
C) Jannat ki aurato ka dupatta (ya niqab) duniya aur jo kuch usmein hai se badkar hai
D) Upar ke sab sahi hai
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
D is the Correct Answer

Wednesday, 10 January 2018

Haalanki Aakhirat behtar aur ziyada paayedaar hai

Bismillahhirrahmanirrahim
Haalanki Aakhirat behtar aur ziyada paayedaar hai
-----------------------
★Bulki tum Duniya ki zindagi ko tarjeeh detey ho haalanki Aakhirat behtar aur ziyada paayedaar hai.
Al~Quran,Surah Al-Ala(87),Aayat-16-17
-----------------------
★बल्कि तुम दुनिया की ज़िंदगी को तरजीह देते हो हालांकि आख़िरत बेहतर और ज्यादा पायेदार है
अल~क़ुरान,सुरह अल-आला(87),आयत-16-17
-----------------------
بلکہ تم تو دنیا کی زندگی کو ترجیح دیتے ہو،حالانکہ آخرت بہتر اور زیادہ پائدار ہے-
القرآن،سورة الأعلى(٨٧)،آیت-١٦-١٧
-----------------------
★Nay, you prefer the life of this world, Although the Hereafter is better and more lasting.
Al~Quran,Surah Al-Ala(87),Verse-16-17
-----------------------------------------------------------

Sunday, 7 January 2018

Part 29 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 29 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Qusai ko sarbaraahi aur azmat ke hasb-e-zail mazaahir haasil the:
1) Daar-un-Nadwa ki sadaarat, jahaan bade-bade mua'malaat ke mula'lliq mashware hote the aur jahaan log apni ladkion ki  shaadian bhi karte the.
2) Liwa: Yaani jang ka purcham Qusai hi ke haathon baandha jaata tha.
3) Hijaabat: Yaani khaana-e-Ka'bah ki paasbaani. Is ka matlab yeh hai ki Khaana-e-Ka'bah ka darwaaza Qusai hi kholtaa thaa aur wahi Khana-e-Ka’bah ki Khidmat aur kaleed bardaari ka kaam anjaam deta thaa.
4) Saqaaya (paani pilaana): Is ki soorat ye thi ke kuchli Hawz mein Haajion ke liye paani bhar diya jaataa thaa aur us mein kuchh khajoor aur Kishmish daal kar ise sheerein banaa diyaa jaataa thaa. Jab Hujjaaj Makkah aate the to ise peete the.• (23)
5) Rifaadah (Haajion ki mezbaani): Is ke mana ye hain ke Haajion ke liye bataur-e-ziyaafat khaanaa tayyaar kiyaa jaataa thaa. Is maqsud ke liye Qusai ne Quraish par ek khaas raqam muqarrar kar rakhi thi. Jo mausam-e-hajj mein Qusai ke paas jama ki jaati thi. Qusai is raqam se Haajion ke liye khaanaa tayyaar karaataa thaa. Jo log tangdast hone, ya jin ke paas tosha na hotaa woh yehi khaanaa khaate the. • (24)
-----------------------------------------------------------
• (23) Muhaaziraat-e-Khazri 1/36
• (24) Ibn-e-Hisham 1/130
To be continued....... In sha Allah

Seerat Quiz-29

⏰ Part 29 of 1800 Seerat Quiz ⏰
-------- yani Jang ka purcham Qusai hi ke haatho baandha jata tha ?
A) Liwa
B) Hijaabat
C) Saqaaya
D) Rifaadah
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
A is the correct answer

Maal aur Aulad to Duniya ki zindagi ki ronaq hain

Bismillahhirrahmanirrahim
Maal aur Aulad to Duniya ki zindagi ki ronaq hain
-----------------------
★Maal aur Aulad to Duniya ki zindagi ki ronaq hain aur tere RAB ke yahan baqi rahney wali nekiyan sawab aur aakhirat ki ummeed ke lihaz se behtar hai.
Al Quran,Surah Al Kahf(18),Aayat-46
-----------------------
★माल और औलाद तो दुनिया की ज़िन्दगी की रौनक़ है और तेरे रब के यहा बाकी रहने वाली नेकियाँ सवाब और आखिरत के की उम्मीद के लिहाज से बेहतर है
अल~क़ुरान,सुरह अल~कहफ़(18),आयत-46
-----------------------
مال اور اولاد تو دنیا کی زندگی کی رونق ہیں اور تیرے رب کے ہاں باقی رہنے والی نیکیاں ثواب اور آخرت کی امید کے لحاظ سے بہتر ہیں-
القرآن،سورة الكهف(١٨)ہیں-٤٦
-----------------------
★Wealth and children are the adornment of the life of this world. But the good righteous deeds, that last, are better with your Lord for rewards and better in respect of hope.
Al Quran,Surah Al Kahf(18),Verse-46
-----------------------------------------------------------

Jis shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to Allah subhanahu uskey Kaamo mein pareshaani daal dega

Bismillahhirrahmanirrahim
Jis shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to Allah subhanahu uskey  Kaamo mein pareshaani daal dega
-----------------------
★Abdur-Rahman bin Aban bin Uthman bin ‘Affan Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jis shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to Allah subhanahu uskey Kaamo mein pareshaani daal dega ,aur uski muflisi dono aankho ke darmiyan kar dega , aur duniya usko utni hi milegi jitni uski taqdeer mein likhi hai, aur jo aakhirat ki fikr karega to Allah subhanahu uskey sarey kaam durust kar dega, aur uskey dil mein (duniya se ) be parwahi daal dega aur duniya kis bhi tarah uskey paas aayegi.
Sunan Ibn Majah,Jild-3,986–Sahih
-----------------------
★अब्दुर-रहमान बिन अबान बिन उसमान  बिन ‘अफ्फान रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूलअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया जिस शख्स को सिर्फ़ दुनिया की फ़िक्र हो तो अल्लाह सुबहानहु  उसके कामों में परेशानी डाल देगा ,और उसकी मुफ़लिसी दोनो आँखो के दरमियान  कर देगा , और दुनिया उसको उतनी ही मिलेगी जितनी उसकी तक़दीर में लिखी है, और जो आख़िरत की फ़िक्र करेगा तो अल्लाह सुबहानहु उसके सारे काम दुरुस्त कर देगा, और उसके दिल में (दुनिया से ) बे परवाही डाल देगा और दुनिया किस भी तरह उसके पास आएगी
सुनन इब्न माज़ा,जिल्द-3,हदिस-986
-----------------------
حضرت عبدر رحمان بن ابان بن عثمان بن عفان رضی اللہ عنہ سے روایت ہے آپ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا تھا: جس کو دنیا کی فکر لگی ہو تو اللہ تعالیٰ اس پر اس کے معاملات کو پراگندہ کر دے گا، اور محتاجی کو اس کی نگاہوں کے سامنے کر دے گا، جب اس کو دنیا سے صرف وہی ملے گا جو اس کے حصے میں لکھ دیا گیا ہے، اور جس کا مقصود آخرت ہو تو اللہ تعالیٰ اس کے معاملات کو ٹھیک کر دے گا، اس کے دل کو بے نیازی عطا کرے گا، اور دنیا اسکے پاس ناک رگڑتی ہوئی آئے گی ۔
سنن ابن ماجہ،جلد-۳ حديثذ-۹۸۶-صحیح
-----------------------
★Narrated by Abdur-Rahman bin Aban bin Uthman bin ‘Affan Radi Allahu AnhuThe Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: “Whoever is focused only on this world, Allah will confound his affairs and make him fear poverty constantly, and he will not get anything of this world except that which has been decreed for him. Whoever is focused on the Hereafter, Allah will settle his affairs for him and make him feel content with his lost, and his provision and worldly gains will undoubtedly come to him.”
Sunan Ibn Majah,Book-37,4105-Sahih
----------------------------------------------------------

Islamic Quiz-135

⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Abdur-Rahman bin Aban bin Uthman bin ‘Affan Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jis shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to ALLAH subhanahu ?
A) Uskey Kaamo mein pareshaani daal dega
B) Uski muflisi dono aankho ke darmiyan kar dega
C) Duniya usko utni hi milegi jitni uski taqdeer mein likhi hai
D) Upar ke sab sahi hai.
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
D is the correct answer

Duniya ki misaal aakhirat ke muqable mein aisee hai jaisey tum mein se koi apni ungli samundar mein dale phir dekhey ki kitna paani uski ungli mein lagta hai

Bismillahhirrahmanirrahim
Duniya ki misaal aakhirat ke muqable mein aisee hai jaisey tum mein se koi apni ungli samundar mein dale phir dekhey ki kitna paani uski ungli mein lagta hai
-----------------------
★Mustawrid Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Duniya ki misaal aakhirat ke muqable mein aisee hai jaisey tum mein se koi apni ungli samundar mein dale phir dekhey ki kitna paani uski ungli mein lagta hai.
Sunan ibn Majah,Jild-3,989-Sahih
-----------------------
★मुस्तविर्द रदि अल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूल अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसलम ने फरमाया दुनिया की मिसाल आखिरत के मुकाबले में ऐसी है जैसे तुम में से कोई अपनी ऊँगली समुन्दर में डाले फिर देखे की कितना पानी उसकी ऊँगली में लगता है
सुनन इब्न माजा,जिल्द-3,हदिस-989-सही
-----------------------
مستورد رضی اللہ عنہ (جو بنی فہر کے ایک فرد تھے) کہتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: دنیا کی مثال آخرت کے مقابلے میں ایسی ہی ہے جیسے تم میں سے کوئی اپنی انگلی سمندر میں ڈالے، اور پھر دیکھے کہ کتنا پانی اس کی انگلی میں واپس آتا ہے ۔
سنن ابن ماجع،جلد-٣،حديث-٩٨٩-صحيح
-----------------------
★Its narrated by Mustawrid Radi Allahu Anhu I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: ‘The likeness of this world in comparison to the Hereafter is that of anyone of you dipping his finger into the sea: let him see what he brings forth.’”
Sunan Ibn Majah,Book-37,Hadith-4108-Sahih
-----------------------------------------------------------

Friday, 5 January 2018

Part 28 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 28 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Is faisle ke nateeje mein Qusai aur Quraish ko Makkah par mukammal nufooz aur siyaadat haasil ho gai, aur Qusai Baitullah kaa deeni sarbaraah ban gayaa jis ki ziyaarat ke liye Arab ke goshe-goshe se aane waalon ka tanta bandhaa rahtaa tha. Makkah par Qusai ke tasallut ka yeh waaqi'aa panchwin (5th) sadi eiswi ke wast yaani 440 A.D. ka hai. • (20)
Qusai ne Makkah ka band-o-bast is tarah kiyaa ki Quraish ko Atraaf-e-Makkah se bulaa kar pooraa shehar un par taqseem kar diyaa aur har khaandaan ki bood-o-baash ka thikaanaa muqarrar kar diyaa. Albattaa maheene aage-pecchhe karne waalon ko, neez Aal-e-Safwan, Banu Adwan aur Banu Murra bin ’Awf ko un ke manaasib par barqaraar rakhaa. Kyonke Qusai samajhtaa thaa ki yeh bhi deen hei jis mein radd-o-badal karnaa durust nahein.• (21)
Qusai ka ek kaarnaama yeh bhi hei ke us ne Haram-e-Ka'bah ke shumaal mein Daar-un-Nadwah ta'meer kiya. (Is ka darwaaza Masjid ki taraf tha). Daar-un-Nadwah dar haqeeqat Quraish ki Parliament thi jahaan tamaam bade-bade aur aham mua'amalaat ke faisle hote the. Quraish par Daar-un-Nadwah ke bade ahsaanaat hain, kiyonke yeh un ki wahdat ka zaamin thaa aur yahein un ke uljhe hue masaail ba-husn-o-khoobi tai hote the. • (22)
-----------------------------------------------------------
• (20) Qalb-e-Jazeeratul-Arab,Safha 232
• (21) Ibn-e-Hisham 1/124-125
• (22) Ibn-e-Hisham 1/125 , Muhaaziraat-e-Khazri 1/36, Akhbaar-ul-Kiraam ,Safha 152
To be continued....... In sha  Allah

Seerat Quiz-28

⏰ Part 28 of 1800 Seerat Quiz ⏰
Daar-un-Nadwah (Haram-e-Ka'bah ke shumaal me) ka ta'meer kisne kiya ?
( Jiska darwazah Masjid ke taraf tha )
A) Bukhtanassar
B) Hulail
C) Qusai
D) Imran bin Amr Muzaiqiya
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
C is the correct answer

Tuesday, 2 January 2018

Islamic Quiz-134

⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain ke: “RasoolAllah (ﷺ) ke Darwaze (-----------) Khatkhataye Jate the.”
A) Hatheliyo se
B) Lakdi ke tukde se
C) Nakhunon se
D) Upar ke sab sahi hai.
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
C is the correct answer

Darwaze Nakhunon se Khatkhataye Jate the

Bismillahhirrahmanirrahim
Darwaze Nakhunon se Khatkhataye Jate the
-----------------------
★Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain ke: “RasoolAllah (ﷺ) ke Darwaze Nakhunon se Khatkhataye Jate the.”
Al-Adab Al-Mufrad,Hadith-1080-Sahih(Al-Albani)
-----------------------
★हज़रत अनस बिन मलिक रदि अल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूल अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसलम का दरवाज़ा नाखुनो से खटखटाया जाता था
अल अदब अल मूफरद,हदिस-1080-सही(अल अल्बानी)
-----------------------
حضرت انس بن مالک رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کا  دروازہ ناخونو  سے کھٹکھٹایا جاتا تھا-
الأدب المفرد،حديث-١٠٨٠-صحيح(الألباني)
-----------------------
★Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain ke: “RasoolAllah (ﷺ) ke Darwaze Nakhunon seKhatkhataye Jate the.”
Al-Adab Al-Mufrad,Hadith-1080-Sahih(Al-Albani)
-----------------------------------------------------------

Monday, 1 January 2018

Seerat Quiz-27

⏰ Part 27 of 1800 Seerat Quiz ⏰
Shaddaakh kiska laqab tha ?
A) Hulail ka
B) Yamur ka
C) Abu Ghabshan Khuza'i ka
D) Imran bin Amr Muzaiqiya ka
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------------------------------------
B is the correct answer

Part 27 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 27 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★3) . Teesra bayaan yeh hai ke Hulail ne apni beti Hobbah ko Baitullah ki tauliyat sauonpi thi aur Abu Ghabshan Khuza'i ko us ka wakeel banaayaa thaa. Chunaanche Hobbah ke  naayeb ki haisiyat se wahein Khaana-e-Ka'bah ka kaleed bardaar tha. Jab Hulail ka intiqaal ho gayaa to Qusai ne Abu Ghabshan se ek mushk sharaab ke badle Ka'bah ki tauliyal khareed li. Lekin Khuza'ah ne yeh khareed-o-farokht manzoor na ki aur Qusai ko Baitullah se roknaa chaahaa. Is par Qusai ne Banu Khuza’ah ko Makkah se nikaalne ke liye Quraish aur Banu Kinanah ko jama kiya aur woh Qusai ki aawaaz par labbaik kehte hue jama ho gaye. • (18)
Baharhaal wajah jo bhi ho. waaqi'aat ka silsilaa is tarah hei ke jab Hulail ka intiqaal ho gaya aur Sufah ne wahi karnaa chaahaa jo woh hameshaa karte aaye the to Qusai ne Quraish aur Kinanah ke logon ko hamraah liyaa aur Aqaba ke nazdeek jahaan weh jama the unse aakar kahaa ke turn se ziyaadah ham is ea'zaaz ke haqdaar hain. Is par Sufah ne ladaai chhed di, magar Qusai ne unhein maghloob karke unka ea'zaaz chheen liyaa. Yehi mauqaa thaa jab Khuza'ah aur Banu Bakr ne Qusai se daaman kashi ikhtiyaar kar li. Is par Qusai ne unhein bhi lalkaaraa. phir kiyaa tha. fareeqain mein sakht jang chhid gai aur tarafain ke bahut se aadmi maare gaye. Us ke ba’d sulah ki aawaazein buland huein aur Banu Bakr ke ek shakhs Ya'mur bin Awf ko hakam banaayaa gayaa. Ya'mur ne faislaa kiya ki Khuza'ah ke bajaae' Qusai Khaana-e-Ka'bah ki tailiyat aur Makkah ke iqtidaar ka ziyaadah haqdaar hai. Neez Qusai ne jitnaa khoon bahaayaa hai sab raai'gaan qaraar de kar paaon tale rond rahaa hoon. Albatla Khuza'ah aur Banu Bakr ne jin logon ko qatl kiyaa hai un ki deyat adaa karein aur Khaana-e-Ka'bah ko bilaa rok-tok Qusai ke hawaale kar dain - isi faisle ki wajah se Ya'mur ka laqab Shaddaakh pad gayaa. • (19)
Shaddaakh ke maani hein Paaon tale rondne waalaa.
-----------------------------------------------------------
• (18) Rahmatul-lil-Aalameen, 2/55
• (19) Ibn-e-Hisham, 1/123,124
To be continued....... In sha Allah